Main Nay Is Fiker Main

Main Nay Is Fiker Main
Main Nay Is Fiker Main Kaati Kayi Raaten Kayi Din
Meri Shayri Main Tera Naam Na Aaye Laikin
Jab Teri Saans Meri Saans Main Ras Gholti Hai
Mari Shayri Sach Bolti Hai ....
  

Jun, 04 2010     173 chars (2 sms)     2630 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mohabbat Ki Haseen Rahon Mein Aksar Mene Dekha Hai

Jo Sathi Sath Chalte They, Bichhartey Maine Dekha Hai,

Sajaatey They Barey Hi Shoq Se Khayalon Ki Haseen Duniya,

Bohat Choti Si Baaton Pe Ujartey Maine Dekha Hai,

Jo Kehte Thaay K Ik Pal Bin Tere Hum Reh Na Payenge,

Saamna Ab Ho To Chup Chap Guzartey Maine Dekha Hai,

Jo Kehte Thaay Tera Rishta Zamane Bhar Se Afzal Hai

Unhi Rishton Ko Pal Bhar Mein Bikhartey Maine Dekha Hai.
Aankhon Main Jo Aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say Aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

Zindagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
Meri Takmeel mAin Hisa hAy TumhAra B bohAt,




Main Agar Tum se nA milta to Adhura Hota.
Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K
"Jaam" Mein "Zehar" hai "


BEWAFA
Lekin.!

Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k
HuM Thukra Na Skay... !
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena
Rishta hamara is jahan mein sabse pyara ho,
jaise zindagi ko sanso ka sahara ho.
Yaad karna hamein us pal mein,
jab tum akele ho or koi na tumhara ho.
Kabhi Tum Milne bulao Na,
Tumhain Mehsos Kerna Hai,
Tumhari Zaat Main Reh Ker,
Tumhara Hissa Banna Hai,
Mujhe Viran Ankhon Mein,
Tumhari Bikhri Batoon Mein Wafa Ka Rung Bharna Hai,
Tumhare Phool Chehre Pe Udasi Ka Jo Manzar Hai
Whan Pe Apni Chahat Se Hansi Ko Naqsh Krna Hai
Kabhi Tm Milne bulao Na . . . /
Usko Chaha to mohabbat ki samaj aayi Faraz

Warna is lafz ki tareef suna kerte they.
Mujhy Itna Na Chaho k
Main Khud Ko Tum
Samajh Betho''n

Mujhy Ehsaas Rehny
Do Meri Apni Bhi Hasti
Hy ... !!!
Be simt hawaon ko nhn roka karty..

Jo beet gaya osko nhe socha karty.

Suraj say kya pochty ho tapish iski.
"Wasi"

Dhoop say smandar nhn sookha karty.
Ye jo sakht raston pe bhi aasan safar lgta hai…
Ye mjh ko MAA ki duaaon ka asar lgta hai…
Aek muddat hui meri MAA nai soyi Tabish…
Mein ne ik baar kaha tha k mjhe darr lgta hai…