Kuch Bay Jaan Umeedain

Kuch Bay Jaan Umeedain
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!
  

Jun, 02 2010     132 chars (1 sms)     3474 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kuch Nahi chaiye Tujhse Aye meri Umre rawaan





mera Bachpan mera jugnoo meri Gudiya la de
hamaare paas rahe ya kinara kar jaaye
udaasion ka woh koi to chaara kar jaaye

qateel pi to liya hai khushi se zehr e firaaq
khuda kare ke tabiat gawara kar jaaye
DUKH ANMOOL HOTAY HAIN
Qudrat ki wadiyat hotay hain
Kabhi kuch day kar jatay hian
Kabhi sub kuch cheen laitay hain
Kabhi bechain kartay hain
Kabhi jeena sikhatay hain
Kabhi bantay hain jab aansoo
Umer bhar yeh roolatay hian
Kabhi lab ki hansi ban kar..
Naie duniya sajatay hian.....
Kabhi meethi kasak ban kar....
Anjani khalish ban kar
Makeen-e-dil yeh bantay hain
Kisi sourat nahin mittay
Jo in say door bhago tou
Nahin janay nahin daitay
Na zindah rehnay daitay hain
Na yeh aazad kartay hian
Nahin jis ki dawa koi
Yeh aisa dard hotay hain
Magar yeh bhi haqeeqat hai
Har ik ko tou nhain miltay
Baray nayaab hotay hain,
Yeh dukh anmool hotay hian..!
DUKH ANMOOL HOTAY HIAN !......
kehnay ko uss se Ishq ki tafseer hay bohat

parh le to sirf aankh ki tehreer hay bohat
Tum Meri Pehli Mohabt To Nahi Ho Lekin,,,,
.
.
.
Mene Chaha He Tumhe Pehli Mohabt ki Tarha....
Yon meri Aankhon mein SAwan ki Jhari rehti hai
Jeyse Kashti koi Darya mein Khari rehti hai
Hall ye hai k Teri Yaad mein eysa ghum hon
SAb ko meri aur mujey Teri pari rehti ha
aaj ki raat bhi mumkin hy na so skon mohsin,

yaad phir aaey hain neendon ko urranay waly..!
Na Zindigi Kay Lia na Mout Kay lia Waqar rukta Nehe Kise Kay lia,
Qadam do Qadam sabi sath chaltain hain sath chalta nehe kio Zindigi Bhar Ka lia
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
gul''on ko bhi nahi aaya abhi tak is tarah khilna,

sawery jis tarah wo neend sy be''daar hota hai...
rafta rafta bujh gya aakhir chragh-e-arzu,,,

pehlay dil khamosh tha ab zindagi khamosh hy,,,,
Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya Ki Wohi Ronaq
Dil Ki Wohi Tanhai
Yeh Raat Ki Khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
Kia Anjuman Aarai
Do Roz Ki Mehfil hai
Ek Umer Ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
Kia Kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye