Tu Kisi Aur k Liye Hoga

Tu Kisi Aur k Liye Hoga
Tu Kisi Aur k Liye Hoga
Samandar-e-Ishq

hum Tou Roz Tere Sahil
Se Pyase Guzar Jate Hyn !!
  

Jun, 01 2010     95 chars (1 sms)     3749 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Geely kagaz ki tarha zindagi hy apni,

koi likhta b nahi koi jalata bi nahi,

is qadar akeley hain ab hum bhi,

k koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.
Mohabbat Mein Lakhon Zakham Khaye Humne
Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi
Mat Pucho Kya Gujarti Hai Dil Par
Jab Wo Kehte Hai Hamein Tumse Pyar Nahi
woh ashk ban ke meri chashm me tarr me rehta hai
ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai

Gile kagaz ki tarha hai jindgi apni,
koi jalata bhi nahi or koi bahata bhi nahi,
is kadar akele hai raahon me dil ki,
koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi
Ik mom ki gurya hai,

Ik prem kahani hai.

Ik shaakh hai
nazuk si,

kalyon ki jawani hai.

Woh phool ki titli hai,

Shola hai k pani hai.

Hai shan samundar ki,

Lehron ki rawani hai.

Woh noor-e-sehr hai ya,

Ik shaam sohani hai.

Dekhoon to sapna hai,

Sochoon to kahani hai.

kya naam rakhoon us ka,

kya baat kahoon us se?

Woh din ka ujala hai,
Woh raat ki RANI hai.

Ik mom ki gurya hai,

Ik prem kahani hai... ;-
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi..
Tujhe Udas B Kerna Tha
Aur Khud B Rona Tha
Yeh Hadsa B Meri Jaan
Kabhi To Hona Tha
Wo Mujhko Torr Ke
Phir Jorta Raha Akser
Mein Uske Waste Jese
Koi Khilona Tha
Mera Humraaz Hai Har Rang Ka Mausam Lekin.
/
Sham-e-Afsurdah Mujhe Sab Sey Juda Janti Hain.
Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”
na chahte hue bhi didar ho gaya,
tujhe dekha to mujhe pyar ho gaya.
socha na tha ki manzar ajib hoga tumse milkar,
par khuda ne tujhse milakar mausam rangeen kar diya.

Kabhii jo hum nahii hongey
kaho kis ko batao gey ???
woh apnii uljahane''n saarii
woh be''chenii mein doobay pal
woh aankhon mein chupay aansoo
kise phir tum dikhao gey ???
kabhii jo hum nahii hongey
buhut be''chain ho gey tum
buhut tanha reh gao gey
kabhii jo hum nahii hongey
abhii bhii tum nahii samjhay ???
hamarii un-kahii baatein
magar jab yaad aayein gey
buhut tum ko rulaai''n gey
buhut chaho gey phir milna
hamein na dhoond pao gey
kabhii jo hum nahii hongey ... !
Tere judaai ka dard kya hota hai, agar jaante hum,
Tujhse judaa hone se pehle, apne dhadkan ko khud se juda karte hum.