Kabhi es tarah meray

Kabhi es tarah meray
Kabhi es tarah meray ham nafs,
Sabhi chahtein meray naam kar,
Agar ho sakay tu kabhi kahein,
Meray naam bhi koi shaam kar,
Meray dil k saye main aa zara !
Meri dharknon main qayam kar,
Yeh jo meray lafzon k phool hain,
Teray raastay ki ye dhool hain,
Kabhi in say sun meri dastan,
Kabhi in k sath qalam kr.
  

Jun, 04 2010     316 chars (2 sms)     2633 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ub k na kerna uska zikar meri wafa ki mahfil main.

agar wo aye tu use kahna meri mahfil se door ja k roye.
Jaagte Hai Tanha Raato Me,

Khota Hai Dil Unki Baato Me,

Mili Nahi Dil Ki Manzil Aaj Tak.

Kyunki Dard Hi Dard Likha Hai In Haatho Me
Boht he Maan hy tum par,
SUNO paas-e-wafa rekhna,

SABHI se tum milo lekin,
ZARA sa fasla rkhna,

BICHARNA b to parta hy,
Zara sa hosla rkhna,

WO sarey wasl k lamhey,
TUM ankhon mn saja rkhna,

ABHI imkan baqi hy,
ABHI lab pe duaa rkhna,

BOHT nayab hyn dekho,
HUMAIN sab se juda rkhna,.
Kisi na kisi pe aitbar to ho jata hai...
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai...khubion se nai hoti mohabbat sada...
khamion se bhi aksar pyar ho jata hai...
Oudaas Shamo ki Siskiyon mein
Kabhi jo Meri Awaaz Sun_na

Tu beetey Lamhon ko Yaad kr k
Inhee Fizaaon mein loot aana

Tum aaya krte thy Hawab ban kr
Kabhi mehakte Gulaab ban kr

Mein Hushak Honton se Jab Pukaaron
In Adaaon mein Loot aana

Meri Wafaaon ko Paas Rakhna
Meri Duaaon ko Paas Rakhna

Mein Haali Hathon ko Jab Outhaon
Meri Duaaon Mein Lout Aana..........
Meray Qareeb Nahi Mujh Se Juda B Nahi

Yeh Raaz Magar Un Per Khula B Nahi

Suna Hai Ap Ko Pasand Aa Gayi Hai Khamoshi

Iss Khayal Se Ham Ne Kuch Kaha B Nahi.../
udaas honton pe muskurahat k phool aain to jaan lena..,

k dil k andar ki kuch udasi,bohat udasi main dhal rahi hai..
Darya Wafaon Ka kabhi rukta nahi
Pyar main insaan kabhi jhukta nahi
khamosh hain hum un ki khushi k liye aur
wo samajh bethe hain K Dil Humara dukhta nahi
Niqaab ko Be-Niqaab kar de
Hijaab ko Be-Hijaab kar de

Qasam hai Tujh ko Masoomiyat ki
Namaz-e-Fitrat Kharab kar de

Wo Qais hi tha jo Ulajhta raha
Jaib-o-Daman ki Dhajjiyon se

Mai us Junoon ki Talash mai hoon
Jo Chaak Tera Niqaab kar de

Tere Karam ke Ma''amley ko
Tere Karam per Chorta hoon

Meri Khataein Shumaar kar k
Meri Saza ka Hisaab kar de
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
neendon ki baghawat se yeh nuqsan huwa hai,,,

ik shakhs k khowabon ko tarasti rahi aankhen.
wada na wfa krty wada tou kia hota,
umeed tou band jati taskeen tou ho jati,