Kuch tu meray dard ka

Kuch tu meray dard ka
Kuch tu meray dard ka mafhoom samajh
Yeh haansta huwa chehra tu auron k liye h
  

Jun, 01 2010     79 chars (1 sms)     2741 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

LaFzo''N kI jUStUjU mAiN sAB kUCh gANWa diA
wO cHaL dIyE mAiN TArZ-E AdA DhUndtA Raha
KisI Ne Rab Se Lia MaANg Aur MaIn
SaJdE MaIn gir K Harf-e-dUa DhUndTa Raha
Peheli nazar main hi koi hamare dil main aake baitha hai,
Usse harpal dhund rahe hai, aur woh to pardes jaake baithi hai,
Socha, aaj chand ko dekhakar unhe yaad kar le,
Par woh bhi kambakht kahi badalo main chhup ke baitha hai.......
main subha o shamm lihkti ho
zameen pay jitni bhi achi zubanay
boli jati hai
main un say harf chunti aur
tumhara naam likhti hoon
barisho k mosam main yadain jaag jati hain.

k her gari stati hai barishon k mosam main.

koi zahan k johrke main jub sada ubre.

ankhain beagh jati hain barishon k mosam main.
Her kisi key lub yeh poochtey hein

Her uthti nazar mai aik sawaal hai

jab fard taraqqi kertey hain

phir qoumoon ko kyun zawaal hai

khoobsurat chehroon key bud surat rawayaye hein

tum hi kaho Aey logo yehi his-e-jamaal hai?

pyaar key matlaashi bhi nafratein philaatein hein

dosroon pey takya karney mai, apna kia kamala hey,

dosti ki aar mai, umeedein lagaey bethein hein

khud-farebi ka pyaara sa yeh mehaz ik jaal hey.
Dard mein koi mausam pyara nahi hota,

Dil ho pyasa to pani se guzara nahi hota,

Dekhe zara koi bebasi humari,

Hum uske ho jate hain jo humara nhi hota.
abhi to dil main halki si kalish mahsos hoti hay...

bohat mumkin hay kal is ka muhabbat nam hojay.
bus ik han k intazar main raat yunhi guzar jaey gi
ab to uljhan hai saath meray neend kaha ayey gi
subah ki kiran na janay kon sa sandais layey gi
rim jim si gungunayey gi ya phir pyas adhori reh jaey gi
Ek Nazar Ki Aas Me
Khud Reh Jao Gy

Is Trha Mat Dkho Wrna
Dekhty Reh Jao Gy

Bila Jhijhak Keh Do
Aaj Apne Dil Ki Baat

Socho Gy Tou Zindagi
Bhar Sochty Reh Jao Gy
Main Qaasid Kis Terha Bhejoo''n

Main Khud Hi Tum Sy Mil Loonga

Tumhai''n Jo Dekh Leta Hy

Tumhara Ho Hi Jata Hy ... !!!
Kuch apni fiker na apna khayal karta hoon
Tu kya yai kam hai teri dekh bhaal karta hoon


Meri jaga per koi aur ho tu cheekh uthe
Mein apne aap se itne sawaal karta hoon


Ager malaal kisi ko nahi mera na sahi
Mein khud bhi konsa apna malaal karta hoon


Yai chand aur sitare rafeeq hain meray
Mein roz unn se bayaan apna haal karta hoon


Tumhari yaad bhi aati hai abb mujhe kam kam
Tumhara ziker bhi abb khaal khaal karta hoon
Apno se juda ho kar, kaun zinda rahta hai,
Sanse chalti hain magar dil,
Hamesha zindagi se khafa rahta hai,
Jo dil mein ho wo dost,
Durr ho kar bhi kareeb hote hain,
Mere yaar insaan umeedon par hi zinda rahta hai.