raabta toot jata h

raabta toot jata h
raabta toot jata he, silsila nahi milta
mujhay dehaan ki galiyon main raasta nahi milta

us kitaaray roshan main ik kami si lagti he
jis pe naam tha tera, wo diya nahi milta
  

Jun, 02 2010     178 chars (2 sms)     5616 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

TUM KIA JANO
Jab Dil Udas Hota Hai
Dard Kuch Khas Hota Hai
Her SOch
Her Yaad
Her Baat
Her Pal Bara Be-Aas Hota Hai
Bas Ek Awaz C Hoti Hai
Wo B Be-Saaz C Hoti Hai
na Koi APna Sa Lagta Hai
Sab Ek Sapna Sa Lagta Hai
Yeh Dil Kyun Udas Hota hai?
TUM KIA JANO
Toot Ker Chaha Jise WO Lot Ker Aaya Nahi
Mere Dil Ko Uss Ke Siwa Aur Koi Bhaya Nahi
Pyar Ki Soda-Gari Mein Hum BAraber Hee Rahe
Usne Kuch Khoya Nahi Aur Hum Ne Kuch Paya Nahi
Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.
Deepak raag hai chaahat apni kyu sunaaye tumhe
hum to sulagte hi rehte hai kyu sulgaaye tumhe

tark-e-mohabbat, tark-e-tamannaa karne ke baad
hum pe yeh mushkil aan parri hai kaise bulaaye tumhe

sannaataa jab tanhaayi ke zehar mein bujhta hai
vo ghadiyaa kyu kar katti hai kaise bataaye tumhe

jinn baato ne pyaar tumhara nafrat mein badlaa
darr lagtaa hai vo baate bhi bhool na jaaye tumhe.
Ukharta ja raha hai sans ab beemar-e-ulfat
''''Sagar''''
chalay aao k kuch dair hum be zuban hon ge
Khoshion Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaaj Hai Meri Zindagi,
Hans Laite Hain Dunya Ko Dikhaney K Lye,
Warna Dard Ki Kitab Hai Meri "ZINDAGI"...
Aya nhi wo lab pe abi raaz-e-muhabat,

Goonj uthi hr traf saaz-e-muhabat,

Dil torte b hen humen chahte b hen,

Ab tak smajh na paye hum ye andaaz-e-muhabat
Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon

Muhabbat Mar Chuki Ab To, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Mujhe MUSALMAN se kafir bna kr faqat itna kaha...

Tum to deen se wafa na kr sakaY hum se kYa kro gaY...
Miley Kaisey Sadiyoun Ki Pyaas Aur Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Badri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Kahaan Sey Chalaa Thaa Judai Ka Saaya, Nahien Dekh Paaya
Kay Rastay Mein Thi Aansoyoun Ki Rawaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Hawa Yeh Khabbar Tou Sunaati Rahey Aur Mein Suntaa Rahoon
Badalney Koo Hai Ab Yeh *Mousum Khizaani*, Zara Phir Sey Kehnaa

Mukar Jaaney Waala Kabhi Zindagi Mein Khusi Phir Naa Paaye
Younhi Khattam Kar Lein Chalo Yeh Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Samay Kay Samandar! Kaha Tu Ney Jo Bhi, Suna Par Naa Samjhe
Jawaani Ki Nadi Mein Thaa Taiz Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Aaj udaas hun to kisi ny bhi aawaz na di,,,
Faraz

Yeh matti k putly kisi sy waFa nahi karty...
Ajnabee shaher me ajnabee log,
meri tanhai par muskurate rahe,
main bahot der tak saheta raha,
aur wo mujhe baar-baar aajmate rahe.