Main SMS Messages3698 messages

Tere bare mein jab socha nahin tha

Main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

Main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho
Aaina Hoon Main Mere Samne Aakar To Deakho
Khud Nazar Aaogi Zara Aankh Mila Kar To
Deakho

Mere Gham Mein Meri Takdeer Nazar AatiHain
Dagmaga Jaogi Mera Dard Utha Kar To Deakho

Yu To Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Raaha Se Jaakar To Deakho

Dil Tumhara Hai Main Yeh Jaan Bhe Dedon Tum Par
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Kar To Deakho

Mouth Barhaq Hai Magar Tum Se Waada Hai Mera
Lout Aaoga Tum Ek Bar Bula Kar To Deakho
Tujhay ishq ho Khuda karay………..
Koi tuj ko us say juda karay
Teray hont hansna bhool jayain
Teri aankh purnam raha karay
Too Usi ki batain kia karay
Too Usi ki batain suna karay
Tujhay hijr ki woh jhari lagay
Too Milan ki har pal dua karay
Too nagar nagar phira karay
Too gali gali sada karay
Tujhay ISHQ ho phir Yaqeen ho
Ussay Tasbeehon pay parha karay
Main kahoon ishq dhong hay
Too nahin nahin kaha karay
Chaha hai tuju ko chahat sy zayda..Samja hai tuj ko mohabbat sy zayda..Ye Main janta hoon ya Dil janta hai.......
Kabhi subha hogi na shaam hogi

ashi koi kahani mare naam hogi

saahil ki mooj ka kiya pata

raat pey likhi tahreer gumnaam hogi

chalte rahay hain bas younhi

jane apni manzil ki gaam hogi

her ati saans per hoti hai subha

koun jane kab zindagi ki shaam hogi

tum mujhay jitna kureidoo gay

mari metti utni hi kaam hogi

jee raha hoon is umeed per Main

tare dar pay zindagi ki shaam hogi

jis ki yaad Main jitay hain hum

yeh zindagi bas us k naam hogi.
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf Main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher Main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t
chalo khawab ankhon Main saja kar dekhtay hian
chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hian
khon k rishton say aitebar uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hian
zindagi asan ho jaye shayad hamari
chalo hath ki lakiren mita ka r dekhtay hian
andheri shab tu kisi surat kat,ti nahi
chalo ghar apn a jala kar dekhtay hian
haMain maloom hay k tum nay hamara hona nahi
chalo tum per ye zindagi luta kar dekhtay hian....
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
Sochta hoon taire bare Main apna kheyal likhoon
tairi tehreef likhoon ya khuda ka kamal likhoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
Main jab bhe likhoon bas taira hus-ne-jamal likhoon

Main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon Main
kaghaz k aik tukre pe kaise Main hal likhoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
Main apni zindgi ki aaisi misal likhoon

maire baad bhe muje loog kitaboon Main dein jaga
Main apne urooj ki terha apna zawal likhoon
wo jo hum meiN tumme qaraar tha tumHe yaad ho ke na yaad ho
wo hi aani waala nebaahta tumHe yaad ho ke na yaad ho

wo naye gile wo shiKaayate wo maze-maze ki hikaayateN
wo har ek baat pe roothna tumHe yaad ho ke na yaad ho

koi baat aisi agar huyee jo tumhaare jee ko buree lagi
to bayaaN se pehle hi bhoolna tumHe yaad ho ke na yaad ho

jise aap ginte the aashnaa jise aap kehte the baawafaa
Main wohi hooN ''momin''-e-mubtila tumHe yaad ho ke na yaad ho
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne HuMain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Ha