Main SMS Messages3698 messages

kuch iss tarha se woh mery zindagi Main jo shamil hui
apney wajood k lye hum he ajnabi or woh k malik hui
Ik mullk ghoom k a rahey hain hum
Gaye the kiun abb pashta rahey hain hum
Muhabat kya yeh hay k koi jo door jae
pir bhool janey Main koi kasar chor jae na hum
shikwah na kissi se milney ka kya karain hum
do harf lafz dill Main hain woh be judha judha
phira hun sare zamane Main dar badar kesa
Main tere bad bhi zindah raha mager kesa
woh janta tha k kuch roz wo nahi tha to Main
pukarta raha usko edhar udhar kesa
PIYAR KA MAZHAB

"Aik hi dherti per kerte hain , dono rain basera bhi
Neel gagen kay saiy tale gher tera bhi gher mera bhi

Rang-o-nasl ka jghra kaisa, kumba ik, qabila ik
Tere khun ka lal hay rang, vaisa hi rang mera bhi

Tera mera mazhab kaisa, piyar hi sab ka mazhab hay
Ik khuda hay tera bhi,or tera khuda hay mera bhi

kon kisi ka dost hoa, jab haat Main sabke khunjer ho
Bund patari Main rekhta hay apna saanp sapera bhi

Diar hoi jab burq, giri thi, abtek vehshet tari hay
Thek ker soorej, dobe ga, to chaiy ga andhera bhi
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUM SE APNE RUTH NA JAYE IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

MERI SOORAT DEKHNE WALON Main BHI EK AAYENA THA
TOOTA JAB YEH SHEESH-E-DIL SAWAN KA MAHINA THA

TUKRE DIL K KIS KO DIKHAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

AAJ KHUSHI KI IS MEHFIL Main APNA G BHAR AAYEA HAI
GHAM KI KOI BAAT NAHI HAI HUMEN KHUSHI NE RULAYEA HAI

AANKH SE AANSO BAHE NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN

PYAR K PHOOL CHUNAY THAY HUMNE KHUSHI K SEJ SAJANE KO
PAT JHAR BAN KAR AAYI BAHAAREN GHAR Main AAG LAGANE KO

AAG Main GHAM KI JAL NA JAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAIN
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE CHUP RAHETE HAI
Sun li jo khuda nay wo dua tum to nahin ho
Darwazay pay dastak ki sada tum to nahin ho

Simti hoye, sharmae hoye, raat ki rani
Soye hoye kalyon ki haya tum to nahin ho

Mehsos kiya tum ko to geeli hoye palken
Bheegi hoye mosam ki ada tum to nahin ho

In ajnabi rahon Main nahin koye bhi mera
Kis nay mujhe yon apna kaha tum to nahin ho
Tum Routh Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Kerna

Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Kerna

Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar K

Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Kerna

Mujhse Hi Mil K Hansna
Mujhse Hi Mil K Rona

Mujhse Bicher K Jee Lo
Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chand Ban K Rehna
Main Dekhti Rahoon Gi

Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Kerna

Tum Chalay Jao Jab Bhi
Tu Dekhoon Tumhara Rasta

Tum Loat K Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

Main tou gum thaa teray dhiyaan Main,tere aas Main teray ghuman Main
saba keh ghaee meray kaan Main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh Main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
Ajj kia bethey bithaey gham e jaan yaad ayya
aik yaad aye tu phir ik jahaan yaad ayya

jabb kooi phool girra jabb kooi patta toota
tujh see patt jharr Main bicharney ka samaan yaad ayya

khul gaey ruhh ki galioon Main terey chaap ke phool
jabb tera rangg kafey-e-paey rawaan yaad ayya

tujh koo dekha tu larazney laggi panddar ki loo
be sabab talaqh noey ka ziyaan yaad ayya

kitni saddioon ke muqaddar Main terey deed na thi
hum terey muntazer-e-deed they haan yaad ayya

sehrey ablagah Main kia zehmey sukhan tha hum koo
kudh pey guzri tu ghamey ehley faghaan yaad ayya

barhaa parsish ehwaal pe sajjad pehroon
aik ik harif ka andaaz-e-biaan yaad ayya
Aye mahobbat tere har khushi ke liye zamaane se lad jaaonga,
teri zindagi ko mahkaane ke liye Main agarbatti ki tarah mahkaaonga
Mahobbat ki yaad Main hamne banwaiii thi uchii minaare kya pata ye khuaab hai unke khayaalo ka ab ham sochte hai jab khuaab Main ye haal hai deedaar-jalwe-husn yaar kya hoga...............