Main SMS Messages3698 messages

yeh dekha hai Maine azma ker...
dhoka dete hain logye akser qareeb aker...
kehti hai dunya yeh baat mujhe se...
ke tum bhe choor doge kese ko apna bana ker...
Main kehta hoon dunya se...
jo insan khud he na ashna ho lafze piyar se...
ise choorega kon in tanha bheroon ki rahoon Main...
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain
Chaar su goonjti ruswaii kisay kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Koi lamha hu teri yaad Main kho jatay hain
Abb tu khud ko bhi mayassar nahin aa patay hain
Raat hu din hu teray piyar Main hum bahtay hain
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Yun tu duniya ki her ik cheez haseen huti hay
Pyar se barh kay magar kuch bhi nahin huti hay
Raasta roak kay her ik se yehi kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain
ye Dil bohat udas hai
koi pegham hi likh do
tum apna naam na likho
gumnaam hi likh do
meri qismat Main
gham-e-tanhaai hai lekin
tamam umer na likho
mager ik sham hi likh do
zarori tu nahi
k mil jai sakoon her kisi ko
sare-e-bazm na aao
sar-e-raah hi millo
ye janta hon k umer bhar
tanha mujh ko rahna hai
mager pal do pal ghari do ghari
meray naam hi likh do
chalo hum mantay hain k
saza k mustahik hain hum
koi naam na likho
koi ilzaam hi likh do
Kaho
woh dasht kaisa tha
jidher sab kuch luta ayee
jidher ankhain ganwa ayee

kaha
sailab jaisa tha
buhat chaha k bach niklain
mgar sab kuch baha aye

kaho
woh vasal kaisa tha
tumhain jab cho lia us nay
toh kia ehsas jaga tha

kaha
us rastay jaisay
jidher say bus guzrana tha
Makan lakin bana aye

kaho
woh chand kaisa tha
falak say jo utar aya
tumhari ankh Main basnay

kaha
woh khuwab jaisa tha
nahin tabeer thee us ki
usay aik shab sula aaye
Beykali beykhudi beybasi deygaya
Kuch naye tajrubey ajnabi deygaya

Us ki saudagari Main bhi insaaf tha
Zindagi deygaya zindagi leygaya

Us key aajaney say har kami mitgai
jatey jatey wo apni kami deygaya

Sochney key liye pal ki mouhlat na di
Jaagney key liye ek sadi deygaya

Leygaya jism sey jaan-o- Dil kheinch ker
Haan magar rooh ki taazgi deyga
Dil wale ankhun ki baat samajh lee hain....Khuwab Main mil lete hain...Rota to asman bhi hai kisi ke piyar Main Lekin Log usey Barsat samajh Lete Hain....
janay kis liay pal Main,
log bhool jatay hain!!
zindagi ki yadoon ko,
bay shumar wadoon ko,
khushguwaar batoon ko,
sath guzri shamoon ko,
an ginat iradoon ko,
Janay kis tarah pal Main
log bhool jatay hain!!
pyar ki haqeeqat ko,
umar bhar ki chahat ko,
rishtoon ki nazakat ko,
jazaboon ki sadaat ko,
lams ki hararat ko,
dil sye dil ki rahat ko,
KAISAY BHOOL JATAY HAIN?
KAISAY BHOOL JATAY HAIN??
woh barsaat
jis ke intizar Main bara maah guzre
kaali ghataa chaane ke baad
poora samaa jhal thal ho gya
pattay bheege
phoolon ne bhi ghusal kia
per mere honton ko
us aek katray ki pyas rahi
jo teri zulf se ho kar
tere rukhsar pe bahay
aur jab wohi aek katra
teri ghulab ki pankharion
se labon per aa ke thehray
apni barson ki pyas bhuja loon
teri aankhon ko choom loon
tere sapno Main ashiyana bana loon
tere labon ko choo loon
teri har baat ammar kar doon
tere ghulabi rukhsaron per chehra laga ke
kisi dhoop Main chaon ki manind
umer guzar doon
tera wajood orh loon
kahe to zindagi tere naam kar doon
Haqiqat Hai Yaqeen karlo, Main use BhoOl Ker Khush HOon
Muhabbat mar Chuki Abb To, Main use Bhool ker Khush hOon

badalti raat Ki Wajha Se, Tabiyat kuch Bojhal Si hai
YuN mera haal Mat pooch Main use BhOol ker KHush Hoon

meray lehejay per mat Chonkoo, meri Ankhon Main mat JhanKOo
Yun hairat se Na DekHOo, Main Use Bhool ker Khsuh hOon

tumhain kya wehem hai, kiun raat bhar milnay nahin atin
aye meri neend ki pariyo, Main use bhool ker khush hoon

bhala kiun rooz baahain waa kiye mujh se milnay ati hai
tum us ki yaad se kehe doo , Main use bhool ker khush hoon

udasi saray ghar Main phelti jati hai ghum ban ker
dar-o-dewar per likhdoo, Main use bhool ker khush hoon
Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon Main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.
ab to nikal kay ankhoon say yadoon Main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.
us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.
keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.
dair karta hoon her kam Main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.
keyoon sulgata hay apnay app ko ay Saadash
dil bhi tara jan bhi tari, koi tandori to nahi
Kabhi jo maazi Main jhankoge
tumhain hum yaad aayenge,

kisi lamhe kuch jo sochoge
tumhain hum yaad aayenge ,

kabhi yun hi akele Main
beet-e-dino ko soch ker

koi geet jo gungunaoge
tumhain hum yaad aayenge,

sab doston ki mehfil Main
kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge
tumhain hum yaad aayenge,
,
zindagi ke kisi morr per
apne dil ki baat ko

kisi se keh na paoge
tumhain hum yaad aayenge. ...!!!
tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre khayalon Main,
jawabon Main,
sawalon Main,
muhabat ke hawalon Main,
tumara naam a jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag Main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. ...........