Main SMS Messages3698 messages

Koi ehd b us ko yad nhi,

koi bat b us ko yad nhi.

ik shkhs nay us ko chaha tha,wo zat b us ko yad nhi.

jab shab ki bijli chamki thi,

aur badal tot k barsa tha.

hum dono jis Main bhigay thay,

wo barsat b us ko yad nhi.

wo sahil darya phool hawa,

wo wada sath nibhanay ka,

aur shab bhar "chand" ko daikha tha,wo rat bhi us ko yad ni.

wo kehta tha Main sunta tha,

Main kehta tha wo sunta tha.

un lakhoon batoon Main koi ik bat b us ko yad nhi.
Dil behl jaye to log chhor dety hain

Koi or mil jaye to log chhor dety hain

4 din ki chandni ka kya krna

Chandni dhal jaye to log chhor dety hain

kasMain to khaty hain sda sath jany ki

Zehn badal jaye to log chhor dety hain

Aaj kal k logon ka kya bharosa..!

Mosam badal jaye to log chhor dety hain

Log mohabat karty hain matlab k liye

Matlab nikal jaye to log chhor dety hain.
Aaj us ki yaad ne haMain tarpaya bohat,

aaj na chahtay howay bhi woh yaad aya bohat,

uss k baad tu jasay vehshaton se dosti ho gai,

phir kyon aaj tanhaiyon ne daraaya bohat,

woh mera tha,mera hai, mera rahay ga,

hum nay iss khayal se khud ko behlaya bohat,

hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha apna,

woh hamare dukh pe na jaane kyon muskuraya bohat...
Teri yaad Main bohat pegham likhte hain,

Teri yaad Main guzri wo shaam likhte hain,

Wo qalam bhi tera deewana ho jata hai,

Jis se hum tera naam likhte hain.
Koi tum se pooche kon hoon Main,

tum keh dena koi khas nahi,

ik dost hai kacha paka sa,

ik jhoot hai aadha sacha sa,

jazbaat ko dhanpye ik parda sa,

bus aik bahana acha sa,

jeevan ka aisa sathi hai,

jo door na ho kar pas bi nahin,

koi tum se poochye kon hoon Main,

tum keh dena k koi khas nahin.....!
Raat kat''ti rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar Main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain badalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,
Tu mera naam na poocha kar,
Main teri zaat ka hissa hun,
Main teri rooh Main shamil hun,
Main teri neend ka qissa hun,
Main tere khuwab ka hasil hun,
Main teri yaad ka mehvar hun,
Main teri saans ka jhonka hun,
tu manzar Main pas-manzar hun,
Main lamha hun,Main jazba hun,
jazbay ka koi nam nahi,
tu mera naam na poocha kar!!
Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k Main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon Main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon Main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta
chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman Main ja kay khizaan Main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
Main Tumhary Saath Hoon Aik Ehsas Ki Tarah...
Mujhay Buss Itna Kehna Hai,Kabhi Main Yaad Aaon Tou...

Kabhi Tanhai Ki Ratain Tumhen Ziyada Sataen Tou...
Kabhi Titli Na Bolay Tou, Aur Jugnou Lout Jaye Tou
Kabhi Jab Dil Bhi Bher Jaye,Koi Jab Sun Na Paye Tou...
Kabhi Sab Dost Sathi Bhi Jo Tum sey Routh Jain Tou

Kabhi Jab Khud Sey Larr Kar Thakan Sey Chour Ho Jao Tou...
Kabhi Chahtey Hoey Bhi Khud akelay Roo Na Pao Tou
Apni Ankhon Ko Band Karna Aur Mujhay Awaz Day Dena...

Phir Meray Tasawur Sey Jo Chahey Batien Keh Dena
Meray Kandhey Per Sar Rakh Ker Jitna Chahey Roo Lena...

Jab Main Khud Lout Jaon Tou,Apni Duniya Main Chaley Jana
Mager Buss Itna Kehna Hai K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Main
suno khudh se mughay tum juda na karo
meri mohabbat ko tum youn ruswa na karo

ye sab khel hain taqdeer ke Milan aur judai
per tum to apni zindagi se mughay juda na karo

mana bohat khudh garz hun aur khush faham bhi Main
per tum bhi mere sitam ko youn saha na karo

saza do mughay tum meri berukhi ki zaroor
magar aise mugh se apne mun ko tum mora na karo

janta huun tanha hai sabhi ki sada se ye zindagi
aise khamosh rehker use aur tanha na karo
Haathon Ki Lakeeron Main Ussko Dekha Hey Mainey
Kabhi Bhi Mujhe Woh Shaks Aisey Talaash Karta Na Hoga


Usska Ehsas Beh Raha Hey Mujh Main Laho Ki Manidd
Mujhe Woh Apney Ansoun Main Bhi Pata Nahin Hoga


Apney Naam Ko Main Usske Naam Se Jor Daiti Hon
Merey Aur Usske Rishtey Ka Ussey Kheyal Bhi Ata Nahi Hoga


Jissko Mana Hey Mainey Sabab Mussarat-e-Zindagi
Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi banata na hoga