Main SMS Messages3698 messages

Mehak dosti ki ishq se kam nahin hoti,
ishq se zindagi khatam nahin hoti,
sath agar ho zindagi Main doston ka,
to zindagi jannat se kam nahi hoti..
Daikho gaY humany roz mugar bat na ho ge.... ''ik shehar Main rh kur bhe mulaqat na ho ge... ,jo kehna ha tum ko abi keh do.... wrna''kul hum hon ga mugar sortay-e- hal na ho ge.... jo pochna ha tum ko abi poch lo.... wurna''kul shaher Main be rusmay swalat na ho ge...,wo jeet be jainy gay to koe jeet na ho ge''hum haar kur bhe jainy gay to koe mat na ho ge...
Main teri chahton ka ahtram karta hon, Main teri azmaton ko salam karta hon, Mil jain tujhy jahan ki sab khushian, or gham sary mein apne naam karta hon, Din to kat he jata hai mera dunya k kamon mein, Raat ko teri tasveron se kalam karta hon, Mangta hon mein khuda se teri mohabat, mein to bas in he duaon ka ahtamam karta hon, tum se shuru hua meri mohabat ka safar, tum per he apni mohabat ka ikhtetam karta hon.
Rishtoon ki yeh Duniya hai nirali
Sab Rishtoon se Pyari hai dosti tumhari
Manzoor hai Ansu b Ankhoon Main hamare
Agar a jaye Muskaan hout pe tumhare
Khul kar izhare mohubat meri fitrat na thi.Wo samjhte rahe huMain unse mohubat na thi arzo apni sari dil ma rehgai hum bhi majbor the kuch unko bi fursat na the
Bohut he mudat k baad kal jub kitab-e-maazi ko Main ne khola, bohut se chehrey nazar mein utrey bohut se naamon pe dil piseeja,ik aesa safha bhi uss mein aaya, likha huwa tha jo aansuon se,k jis ka unwan Pyaar tha, ye safha sub se he moutaber tha, kuch or aansu phir uss pe tapkey,phir uss se aagey Main parh na paya,kitab-e-mazi ko band kar k ussi ki yaadon mein kho gaya Main,agar hum saath hote tu Kesa hota,inhe khayalon mein so gaya Main.....!
Wafa ruswa nahi karna Suno aisa nahi krna

Main pehlay he akela hon, Mujhy tanha nahi krna

Judai b jo aa jai, Tu dil chota nahi krna

Buhat musrof ho jana Mujhy socha nahi krna

Barosa b zarori hai Magar sab ka nahi krna

Muqadar phir muqadar hai, Kabi daawa nahi krna

Jo likha hai wahi ho ga Kbhi shikwa nahi krna

Meri takmeel tum se hai Mujhay adha nahi karna

Haqeeqat hai milan apna, Isay spna nai krna

HaMain tum yad rehtay ho, Hamen bhoola nahi krna
muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo''n say tari hay
magar janaa''n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana

muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee''n aye
k Main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee''n kerna
wagerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee

nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa''n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo
Aansu nahi thamte
Aansu nahi thamte hain aankhon Main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal Main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...
Na Khwabon Main Dkha,

Na Nazaron Main Dkha,

Hzaron Main Hum Ne Ek Tum Hi Ko Dkha,

Ghum Dene Wale To Hr Pal Ha Yhan,

Hr Pal Khushi Dene Walon Main,

Ek Aap Ko Hi Dkha
Be qarar tanhaiyon ka silsila reh jayega,

tere mere darmiyan bus Ik khala reh jayega,

ashq beh jayenge sarey dukho k sailaab Main,

aur koi paniyo mai jhankta reh jayega,

mujhko mere humsafar aisa safar DAR paish he,

Rasta kat bhi gaya to fasla reh jayega,

log so jayenge khamoshi ki chadar ourh kar,

chand sune angano mai jagta reh jayega,

Jo kabhi us nay parhi thi mujhse mang kar.

naam mera un kitabo mai likha reh jayega . . .
kyu Zindagi ki rah Main majboor hogaee
Itne howe kareeb key hum dhur hogaee
Aisa nahi key hum ko koi bhi khushi nahi
Lekin ye Zindagi tho koii Zindagi nahi
Kyus key faseley humein manzoor hogee
Iney howe Kareeb key hum dhur hogaee
Paya Tumhain tho Hum ko laga Tumko Kho dia
Hum Dil pe Roye Aur ye Dil Hum pe Roo dia
Palkoon se khawab kyu Gire kyu churr hogaee
Itne howe Kareeb key hum dhur hogae
Kyu Zindagi ki raah Main Majboor hogaee
Itne howe Kareeb ke ........... Dhur hogaee