Main SMS Messages3698 messages

Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
Meray haath Main jo Gulaab thay.....
Woh Gulaab saare bikher gaye.......
Meri aankh Main woh jo khuwaab thay.....
Woh hi khuwaab mere ujarr gaye.....
Jisey Main ne maanga tha baar-ha......
Woh hi shakhs mujh se bicharr gaya.....
Mera humsafar mujhe chorr ker.....
Kisi aur simt chala gaya....
Jisey saath dena tha umar bhar.....
Woh to do qadam bhi na chal saka......!!
Apne honton per sajana chahta hon
Aa tujhey Main gungunana chahta hon

Koi ansoo tere daman per gira ker
Boond ko moty banana chahta hon

Thuk gaya Main kerte kerte yad tujhko
Ab tujhey Main yad aanaa chahta hon

akhri hichki tere zaano pe aaye
maut bhi Main sha''erana chahta hon

Rah gayi kuch kami ruswaiyon Main
Phr QATEEL us durr pe jana chahta hon
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya Maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Kuch Main b thak gaya hun usy dhundty huwe

Kuch zindgi k paas bi mohlat nahi rahi

Us ki ik ik ada sy jhlakny laga khloos

Jab mujh ko aitbar ki adat nhi rahi.
Dil-o-nazar se kuch dair b juda rakhun,

ye mere bas mein nahi k tujhe khafa rakhun..

Nhi hay kuch b mere zahan mein siwai is k,

Main teri yad bhula dun to yad kia rakhn..

kabhi jo mujh se koi pooch le meri marzi,

to apna naam muhabbat tera wafa rakhun...
Tanha si zindzgi me tanha hai har rasta ,
dosto yaaro se jaise toota ho vasta,
sabhi hain saath par najane kiski kami hai,
itni khushiyo me najane kaisi gami hai.
Kyo patjhad me sawan ka deedar karti hoon,
kyo har ghadi sirf tera intezaar karti hoon,
tu kaun hai kaha hai, is sab se anjaan hoon,
kya teri tarah ,Main bhi tera armaan hoon.
Tu na aa ,magar aane ka vada to kar,
meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
teri aas me najane kab se nahi soi,
teri yaad me najane kitni raate roi,
ab apni khushi se mera gam aadha to kar,
tu na aa magar aane ka vada to kar.............
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran Main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan Main
yeh na abaad waqtoon Main
dil-e-nashaad Main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d Main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad Main ho gee

yeh mumkin hai hamaray darmiankoi
ghalat fehmi bhi na rehti
jo apnay dil mein choti si
khalish hai khatm hojati
bata deta k mujh ko aaj bhi uski zarorat hai
jo is jevan ka hasil hai to bus uski mohabat hai
bata deta k logon ki sabhi baaten fasanay hain
sabhi qisay puranay hain
Main keh deta k zara si baat pay yun rothna acha nahi hota
mohabat karnay walon mein
ghalat fehmi to ho sakti hai par jhagra nahi hota
Main har ik baat keh deta
khalish bhi dur hojati
Main uska hath thamay yunhi uska hum qadam rehta
woh agay hath to karta
wo mujh say baat to karta
Kiss qadar kaam barha deti hain yaadein usski
Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski

Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi
Mujhko aur bhi deewaana bana deti hain yaadein usski

Main bhatakta hoon agar raat ke andhere mein
Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski

Jab uthaata hoon nighahein kisi aur chehre ki taraf
Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski

jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaQat ka
Faasle aur bhi barha deti hain yaadein usski...
Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.

yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon Main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.

jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.

ab to nikal kay ankhoon say yadoon Main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.

us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.

keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.

dair karta hoon her kam Main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.
Aey Kaash…
woh phool si muskurahat merey liye hoti
woh masoom shararat merey liye hoti

Main us zulf ki chaaon Main soo jaata
woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan
woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan Main
aey kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood Main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi
mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti