Main SMS Messages3698 messages

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
sonu .. aissa nahe kertay
suno ! jis dil Main raihtay hon
ussay tora nahe kertay
bina jis kai na jee payin
ussay chora nahe kertay
suno ! kuch dair rok jao
koi tadbeer ker lain gay
ju saray khowab daikhan hain
unhain tabeer ker laingay
ju hathon Main lakeerain hain
unhain takdeer ker lain gay
sonu ! kuch dair rok jao
khodara yon tu mat jao
bina tairay yai jeewan hum
kaho kaisay beetayin gay
sonu ! tum yad aa a tu
bohat khod ko rolayin gay
suno ! jub dard hoga tu tarap ker mar he jayingay
sunoooo ! kuch dair rok jao
sunoo kuch dair rok jao ..
chaloo ik nazam kaihtay hain
sub hee bay noor sobhoon per
sub hee bay rang shamon per
jinhain hum dil pai saihtay hain
chaloo ik nazam kaihtay hain


ju kal tuk khosh goomaa say thay
wo ab kyon bad goomaa say hain
in hee socho Main raihtay hain
chaloo ik nazam kaihtay hain


bojha sa ajj hay dil bhe
tabeeyat bhe hay bojhal see
or ashak ankhon say baihtay hain
chaloo ik nazam kaihaty hain ...
mairee jaan theek kaihtee hoo
hamari is mohabbat ka bhala kya faida hoga
hamaray darmyaan ju doriyan hain
kum nahe hongi
kubhe barish kai mosam Main
humaisha sath raihnay kee
ju khowahish dil Main jagi thi
ju spnay humnay daikhay thy
wo sapnay tot jaeingay
mairee jaaan theek kaihte ho
moqader kai likhay ko he ager tasleem kerna hay
tu phir issi mohabbat ka
koi bhe faida kaisa?
mugar is ko ager chaho
tu mairee baybassi kaih lo
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
abhi tu ishq mai aisa bhi hal hona hay
k ashk rokna tum say muhal huna hay


har aikh lab pay hain mere wafa k afsanay
teray sitam ko abhi la-zwal hona hay


yaja ka khara hain lakin bahar ki rut Main
yah tay hay ab k haMain bhi nihal hona hay


tumhain khabar hi nahin tum tu lout jaou gay
tumharay hijar mai lamha bhi saal huna hay


hamari rooh pay jab bhi azab utrain gay
tumhari yad ko iss dil ki dhal huna hay


kabhi tu roay ga woh kisi ki bahon Main
kabhi tu us ki hansi ko zawal huna hay


milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushian
bas yah intazar hay kab yah kamal huna hay


har aik shakhs chlay ga hamri rahoon per
muhabbaton mai haMain woh bay misal hona hay
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhain ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhain ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhain,
Woh Hum Se Baat Nahi Kartey , Tu Na Karey ,
Haal Sara Unkey Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhain,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhain,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein , Basa Deti Hain Aankhain,
Mana Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Key Rastey ,
Magar Kabhi Kabhar , Neend , Ura Deti Hain Aankhain,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat HuMain,
Dard -O-Gham , Sarey Dil Key , Chupa Deti Hain Aankhain
Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo
Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo
Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo

Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain
Us ne kaha ke raat ko socha na karo
Maine kaha ke raat ko neend nahi aati
Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo

Maine kaha ke dost nahi denge saath mera
Us ne kaha ke waqt pe yeh tajarba kiya karo
Maine kaha ke Dil Main teri yaadein hain
Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo

Maine kaha ke tere milne ki umeed hai
Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai
Maine kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi
Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon Main raha karo...
Jahan Bhi Rahain Aik Hi Baat Hai
Tum Pass Nahin Aik Hi Baat Hai
Kabhi Bin Tumhare Roya Karte They
Ab Tum Dhur Ho Aik Hi Baat Hai
Dil Main Pehle wali Baat Nahin
Sou Jathan Karo Aik Hi Baat Hai
Dil Ke Aaine Main TuMain Dekh Liya
Ab Jo Bhi Roop Dharo Aik Hi Baat Hai
Bharam Sare Ab Tum Ne Kho Diye
Baher Ho Ya Khizaan Aik Hi Baat Hai
Woh Waqt Tha Jab Hum Mila Karte They
Wade Sare Wafa Ke Kiya Karte They
Rishta Chah Ka Tha Jho Tum Ne Mita Diya
Ab Subha Ho Ya Shaam Aik Hi Baat Hai
Ab Na Hi Woh Dil Hai Na Hi Tum
Jaisi Bhi Ruth Ho Aik Hi Baat Hai
Bin Tumhare Jeena Bhi Kiya Jeena Hai
Zindagi Ho Ya Mout Ho Aik Hi Baat Hai . . .
/-> AFSOS MAT KARO <-/

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insaan apne aap Main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane Main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo
Duniya Main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo
Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo
Bekaar jee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo
*/* CHUPAYA KARO */*

DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO
HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO
DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO

TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN
KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO
ROZ GHERON KI MAJLIS Main JATE HO TUM
KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO

HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI
AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO
TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE
BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO

TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA
KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO
CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN
ROSHNI Main DIYE NA JALAYA KARO

HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO. . .
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
Main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
Main kehta hon ab kisi kay aanchal Main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
Main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay Main bohat udaasiyat si hai?
Main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
Main kehta hon k mairay nisaab Main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
Main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.
//- MAZA AAJAAYE -//

TUM KISEE GAYR KO CHAHO TU
MAZA AaJAAYe
OR WO TUMSAY KHAFA HO TU
MAZA AaJAAYe
TU KOE NAAM HATAHYLI PAY LIKHAY MainHDEE SAY
OR WO NAAM MAYRA HO TU
MAZA AaJAAYe
MAYRAY SHEQWAY TUJAY ACHAY NAHI LAGTAY LAYKIN
TUJ KO BE MuJ SAY GELA HO TU
MAZA AaJAAYe
TUJ KO AHSAS TU HOGA MAYREE BAYCHYNEE KA
KOE TUM SAY BE JODA HO TU
MAZA AaJAAYe . . .