Main SMS Messages3698 messages

Aankhon Main Jo Aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say Aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

Zindagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
Meri Ankhon pe marta hai
meri baaton par hansta hai
najane shaks hai kaisa?
mujhe khone se darta hai
woh jab bhi baat karta hai
yahi har baar kehta hai
Agar Main bhool jaoon to?
Agar Main rooth jaoon to?
Kabhi wapis na aaoon to?
bhula paoge yeh sab kuch..
yunhi hanste rahoge kia?
Yunhi sajte rahoge kia?
Yahi baatain hain bas uski
yahi yaadian hain bas uski
mujhe maloom hai itna
Mujhe woh pyar karta hai
MUJHE KHONE SE DARTA HAI...
Tum Ne Kaha Tha Bade Yaqeen K Sath
Mujh Per Bharosa Karo
Bilkul Es Tarah
Jase Apny Ap Per Ho
Aur Main Ne
Dheerey Se Hans Ker Pucha Tha
Itna Yaqeen Kion?
Tab Tum Ne Meri Ankhon Main
Jhank Ker Kaha Tha
"Main Tumahri Manzil Ka
Sang E Meel Hoon"
Aur
Mian Tab Se Ab Tak
Jaty Qadmoon Ki Dhool Main
Es Sang e Meel Ko Talash Ker Rahi Hoon
Jo Tumahre Yaqeen Ki
Andhar Nagri Main Kaheen Kho Gia ha
Kaho ab kia kahon tum se
Bataao Kia likhoon tum ko
Mujhe tamheed do koi
Mujhe umeed do koi
Nia ik lafz ho koi
Jahan se baat chal niklay
Meri mushkil ka hal niklay
Bataao lehja kaisa ho
Keh tum se baat kerni hai
Tum apni roshan ankhon ko
Ager kholo to Main likhoon
Tumhare lub se aye ga
Sukhan mein kateela pan
Tumhari ankhein day dein gii
Takhatub ko nasheela pan
Kaho ab kia irada hai????
Mujhe izhaar kerna hai
Keh betaabi ziada hai!
mujhy izhaar karna hai
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is Main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon Main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko Main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in Main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab Main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta“alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

Main Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa
Bheegi Palakain
AAnkhon Mein Laal Doray
Dard Say Chlakti Surkhi
Gaaloon Pay Phisaltey Motii
Lub Kaat“te Huwi
Main Aksar Ussay Bari
Mehwiat Se Dekhta hoon
Pagli
Tujhe Kiya Maloom Tujhe Rula Kar
Main Marti Ankhon Mein
iss Jahan ka Husn Dekhta hoon
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer Main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino Main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil Main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
haMain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Bay zubaan logon ko
Baqarar ankhoon ko
Badnaseeb qadmoon ko
Jis tarf bhi lay jain
Rastoon ki marzi hay

Bay nishan jazeeron per
Bad guman shehroon Main
Bay zubaan musafir ko
Jis tarf bhi bhatka dain
Rastoon ki marzi hay

Ajnabi koi laa kr
Hum safar bana dalain
Saath chalny waloon ki
Raakh bhi urra dalain
Ye musaaftain sari
Khaak Main milla dalain
Rastoon ki marzi hay

Rook lain ya barhnay dain
Thaam lain ya girnay dain
Wasal ki lakiroon ko
Tor dain ya milnay dain
Rastoon ki marzi hay
kisi ki yaad dil Main hai koi ehsas baqi hai
badalte mausam ke darmiyan ek raz baqi hai

abhi Main safar mein hoon mile gi manzil mujhe
magar in raston kay darmian ek sath baqi hai

kahin pe sham dhalti ha kahin raat hoti
abhi to chandni hai chand ki raat baqi hai

chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai magar aik saans baqi hai

umeed hai phir bhi mile ga wo haMain aik din
khuda par hai bharoosa,khuda ki baat baqi hai