Woh shakhs mujh ko

Woh shakhs mujh ko
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
  

Jun, 05 2010     535 chars (4 sms)     2654 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kehnay ko uss se Ishq ki tafseer hay bohat

parh le to sirf aankh ki tehreer hay bohat
mohsin tum ny dekha hai kbi sehraa mei jhulasta hua darakht,

isi tarah jeety hain wafaoon ko nibhany waly.
Tum Bohot Yaad Aaye Jub Chand Ne
Chandni Se Sargoshiyaan Ki
Jub Phoolon Ne Shabnam Ko Chooma
Jub Samandar Ne Lehron Ko Baanhon Main Sameta
Jub Suraj Ne Kirno Ko Chaha
Jub Aankhon Ne Kuch Adhoore Khawab Sajaaye
To Mujhe Tum Bohot Yaad Aaye
ae chand tu bhul jayga garur se chamakna,,,

jis roz dekhy ga ik jhalak mere yar ki,,,
Muje To Bachpan Sae Kanty Chun Ny Kii Adat Thii
Muje Maat Choorna Kabhi K Kanty Chun Ny Kii To Pehly Adat Thii
Gilay shikWay kro mjse ...tmhe jaana ijaazat hAy


lakin Baat na krne se Ta''alaq Toota nhi kartay
woh mujhsay besabab uljha nahi tha,
woh pehlay tu kabhi asa nahi tha,

buhat ala tha uska zarf laykin,
woh meri zaat ko samjha nahi tha,

woh jaisay berukhi say chal dya tha,
main itna bhi gaya guzra nahi tha,

usay main kyun bura theraoon yaroo?
woh acha tha....faqat mera nahi thaa!
Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta..
Yah ansoon pyar ka Moti hai is ko khoo nahi sakta..
Meri chahaat ko dulhan tu bana lena magar sun lay..
Jo mera hoo nahi paya wo tera hoo nahi sakta..
Sapne saare tod kar beithe hai
dil ka armaan chod kar beithe hai
na kijiye humse wafa ki baatein
abhi-abhi dil ke tukde jod kar beithe hai
Gam is kadar mila ki ghabra ke pi gaye,

khushi thodi si mili to milaa ke pi gaye,

yun to na thi janam se pine ki adat,

Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pigaye
Aye Na agar Tumhe Yaad Hamari,

Hum Karenge Fariyad Tumhari.

Bewafa ho tum ye Na Kahenge Kisi se,

Kahenge Ki Shayad Kami Thi Wafa Me Hamari.
waqt mile to hame yaad karna, pal pal na sahi din mein ek bar yaad kar lena, dost honge aap ke 1000 par ham bhi ek hai itna yaad kar lena...