Main SMS Messages3698 messages

Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un Main doob gaya aitabaar kertay huay
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
aisay Main bas december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
alvidaii manzar yaad aata hay
aisay Main huMain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi
Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay
Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!!
DECEMBER kay mahinay ka wo shaid akhri din tha
baras guzray kai
Main nay "MUHABAT" lafz likha tha
kisi kagaz kay tukray per!
Achanak yaad aya hay
baras guzray kai
muj ko kisi say bat kerni thi
usay kehna tha
jaan-nay jaan! "MUJHY TUM SE MUHABAT HY"
magar Main keh nahi paya
woh kagaz aaj tak lipta para hay dhool Main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi Main mohabat ker nahi paya!
chandni raat k hatho pay sawar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.

iss Main kuch rang bhi hain ,
khaab bhi khusbuain bhi.

jhilmilati huwi khwahish bhi, aarzoain bhi.
issi khushbu Main kayi dard bhi afsaanay bhi.

issi khushbu nay banaay kayi dewanay bhi.
meray aanchil pay umeedo ki Qataar utri hai.

koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.
issi khushbu say kayi yaad k dar kultay hain.

meray pairoo say jo leptay to safar khiltay hain.
yahi khushbu jo meray ghar say utta layi thi.

ab kissi toar palat kar nahein janay daiti.
meri dehleez bulaati hai mujhay loat aao.

yahi khushbu mujhay wapas nahein aanay daiti.
ranj aur dard Main doobi yeh bahar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai
***ADA E ISHQ***
Har lamhay ko is tarhaa Main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamhoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko Main haadh se hi guzar jaoon gi.
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon Main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi Main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag Main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.
Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,

Dil aap ki yaad Main tarapta bhi bohut hay,
magar aap haMain aanso bahanay nahin daitay,

aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.
Kuch iss adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe

imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe

ya rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki Khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do aalam ki vusatein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe

dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon Main ki phir bhi tum itne haseen rahe

iss ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.
Wafa jab maslehat ki shawl orhey
Sard raat ka roop dharey
Dil ke aangan Main utarti hey
To palkon par sitaaron ki dhanak muskaaney lagti hey
Kabhi khwabon ke an-chuey heowlon sey bhi
An-dekhi si anjaani si khushboo aaney lagti hey
Kisi ke sang beetey, an-ginat lamhon ki zangeerain
Achanak zehan Main jab gungunaati hain
Nafas ke taar Main sannata sa yakdam cheekh uthta hey
To yun mehsoos hota hey
Hawayen aa ker sargoshi karti hain
"Mohabbat ka tumhain idraak ab to ho gaya ho ga?"
Ye jo bhi zakhm deti hey, kabhi seeney naheen deti
Mohabbat rooth jaaye to, kabhi jeeney naheen deti..