BHULAYA NA JAA SAKA

BHULAYA NA JAA SAKA
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
  

Jun, 05 2010     619 chars (4 sms)     3370 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yaadon mai usi ki yaad hoti hai,

Meri ankho ko usi ki talash hoti hai,

Kuch tum bhi dua kia karo dost,

Suna hai dosto ki dua mein farishto ki fariyad hoti hai
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut haseen tha.
kasa lagta ha

khirkhi se barish ki bonde takna

apne ap ko in bondoon ki nazar kerna

kasa lagta ha

jb bijli zor se karak ker apne guse ka izhar kerte ha

or jwab main badal hans ker use manata ha

in ahsasat main jeena

kasa lagta ha

bolo kasa lagta ha

barish ka sang ankh macholi khalna
Iss Badi si Dunya mein har Shakhs ko choti si Ek Talaash hoti ha . . .
Kisi ko Dost ki. . .
Kisi ko pyaar ki. . .
Kisi ko Chahat ki. . .
Aur
Kisi ko APNO ki. . .
Bass ek Apna joh Sirf Apna ho. . .
Shayad or Kuch Bhi nahii!!. .
ye acha hai k bohat acha nahi houn mein,

dukhee ho ga na koi mere chaly jany k baad...
Gunah karke saza se darte hain,
Pee ke Zeher dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi humko,
Hum to doston ki bewafai se darte hain.
ae chand tu bhul jayga garur se chamakna,,,

jis roz dekhy ga ik jhalak mere yar ki,,,
hay ishq k maaron ka itna hi fasana hay
ronay ko nahi koi hansnay ko zamana hay
Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya
Dil Bahut Kuch Jalaa Ke Dekh Liya
Woh Mere Ho Ke Bhi Mere Na Huai
Un Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
Talluq Toot Jay Ga Mera Sarey Zamaney Se,
Ek teray rooth Jany Se,
TumHarey Sath Rehnay se Dil ko Taskin Milti he,
Bohat TakleeF hoti He TumHarey Door Janey Se..!!
Mosam Ko Mosam Ki Baharon ne Lutta,

Kashti Ko Sahil K Kinaroo ne Lutta ,

Woh Tu ek Hi Qasam Se Dar Gaye ,

Humain tu Unki Qasam De kar Hazaroon Ne Lutta
Kuch kahain to tauheene hasti hai
Kaisi ajab yeh dunya ki basti hai
Maree ko tu dain kandha sabhi
Magar zindagi raham ko tarasti hai