Main SMS Messages3698 messages

Main Lafzon Main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key Main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon Main tujhey aaj bhi.Mager teri soch Main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi Main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon Main.Werna Main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.
Hum ney khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz Main mukhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton Main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan Main to tum ho k nidhaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december Main.Baarishon Main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss Main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Dolat-e-Dard Ko Dunya SE Chupa Ker Rakhna

Aankh Main Boond Na Ho Dil Main Darya Rakhna
Dil jis cheez ko haan kehta hai zehan usi ko kehta hai naa

Ishq mein uff ye khud hi se larna ek sazaa hai seene Main
Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kia

Woh kon Hai zalim, Jisne tera yeh haal kia

Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai

woh nikli bewafa bus itni si baat hai...
Jab Seenay K Ander
Saans k darya doltey hain
Jab sard hawa Main mausam
Chup si gholty hain
Jub aansu palkai''n roltey hain
Jab sab awaizai''n apne apne bister par so jati hain
Tub ahesta ahesta ankhai''n kholtey hain

DUKH BOLTEY HAIN
HAAN!!
DUKH BOLTEY HAIN. . .
Kaise wo laut aaye k fursat ussey nahi
Dunya samajh rahi hai mohabbat ussey nahi

Lagta hai aa chuki hai kami uss ki chah Main
Kaafi dino''n se mujh se shikayat ussey nahi

Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
Jazbo''n ki barishon ki jo aadat ussey nahi

Har cheez ikhtiar Main rakhta hai wo magar
Dil se rihayi paney pe qudrat ussey nahi..!

Zindagi! ab tou ta''aluq ki ye hi surat hai
Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum
Humare Dar pe Aaye Ho
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne
K Tum Bin Reh Nahi Sakte
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte
Kaha Tum Se Kis Ne k
Hum Tum Bin Bohat Roye
Kai Raato''n Ko Na Soye
Suno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se
Agar
Beetay Huey Lamho''n Ko
Tumne Wapis Lana Hai
Humari Zindagi ain HuMain
Wapis Bulana Hai
Mujhe Afsos Hai Jana''n
K Tum Mayoos Lauto Ge
Agar Tum Jan''na Chaho K Aisa
Kion Kia Hum Ne
Ye Gham Seh Lia Hum Ne
TOU SUNO GAU SE JANA''N
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat
Tor Di Hum Ne

"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . . .
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
Hum Na Samjhe Thay Teri Nazro’n Ka Taqaza Kia Hai
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kia Hai

Mujh Ko Madhosh Sa Kr Rakha Hai Teri Aankhon Ne
Werna Saaqi Tere Maikhaane Main Rakha Kia Hai

Dekh Le Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kia Hai
Khaak Main Mil K B Kehta Hai Bigra Kia Hai

Ye Suraahi Sa Badn Le Ker Maire Saamne Na Aa
Main Sharabi Hoon Sharabi Ka Bharosa Kia Hai

Apne Honton Ko Maire Honton Se Chonay Na De
Ek Do Ghoont Se Botal Ka Bigarta Kia Hai
Tumhain Ab Bhool Hee Jayen Tou Acha Hai
Yeh Faslay Aur B Barh Jayen Tou Acha Hai


Tumhari Chahatain Hum Ko Nahi Hasil
Tu Ab Ghair Hee Ban Jaye Tou Acha Hai


Humahre To Umer Guzri Hai Teri Chahat Main
Tu Is Aag Main Na Jalaye To Acha Hai



Barso''n Se Thi Dua K To Meray Sath Ho
Kehta Hoon K Ab Samna Na Ho Tera Tou Acha Hai



Rehta Tha Teri Mohabbat Ka Saya Humaray Sath
Ab Tou Apni Perchai B Na Ho Tou Acha Hai



Raiza Raiza Ho Chukki Hai Rooh Meri
K Badan Say Ab Nikal He Jaye Tou Acha Hai ..!!