Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
kabhi kabhi kuch sun ne ko dil karta hai
kabhi kabhi kuch samjhne ko dil karta hai
jeene nahi deti ye waqt ki dheemi raftar
har waqt aapse milne ko dil karta hai
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai
Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai
Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us Pal
Jab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai
Mohabbaton mein ham loag jhuka nahin kartay
Lafz MOHABBAT lab say adda nahin kartay
Jo palat kar dekhay per sadda na day
Us shakhs k liay ham ruka nahin kartay...
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dost ko bhula deta hai.
Marnay k bad meri ye kahani likhna Kese hui Barbad meri ye Jawani likhna Ye likhna usay Intizar bahot tha kisi ka Aakhri saans ki kesay hui Rawani likhna Jo Qasmain khai thi us ne Piyar me Un Qasmon ki kya hui us per Mehrbani likhna