ajeb kashmakash k raastay hain
Bari kathin yeh musafatain hain
Main jiski raahon main bujh gaya hoon
Usi ko mujh say shikayatain hain
Shikayatain sab bja hain laikin...
Main kaisay usko yaqeen dilaon?
Usay bhulaon tu mar na jaon
Main aisay khamosh imtihaan main
Kahan kahan say guzar gaya hoon
usay khabar bhi nahi hay shayad
Main dheeray dheeray bikhar gaya hoon....
Ye Jantay Huye Bhi
K
Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga
Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga
Phir Bhi Main Ne
Hawa Ko Pakarna Chaha
Badal Ko Choona Chaha
Unse roz milne ko DIL CHAHTA HAI.....
Kuchh sunne sunane ko DIL CHAHTA HAI.....
Tha kisi ke MANANE KA ANDAZ aisa....
Ki phir RUTH jane ko DIL CHAHTA HAI....
Waqt guzra tu yah malaal howa.
Khatam ak zindagi ka saal howa.
Kitne shiddat say koee yaad aya.
Aaj jeena bara mahaal howa.
Soch ke jheel main gira pathar.
Be sabab mustashirkhyaal howa.
Lo dekhay bohat magar jana.
Koe teri kaha misaal howa.
Meri deewangi ko galatna samajhna,
maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
meri zindagi se kabhi dur na jana,
maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar