Tumhe apni yaadon se mitaya na ja saka,
ujari hui zindagi ko basaya na ja saka.
yun to hoti hai roz mulakat zindagi,
Per meri jaan ko Mujhse churaya na ja saka.
Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain
Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain
Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
Aazmaish pyaar me Zaruri ho sakti hai,Na mil pana kisi ki majburi ho sakti hai... Yaad dur se kar sakte hain,Par dil ki hasrat to milne se hi puri ho sakti hai....