Tere bare mein jab

Tere bare mein jab
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
  

Jun, 05 2010     369 chars (3 sms)     3140 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kaise Batau Use,

Nahi Isme Koi Meri Khata,

Khel Hai Ye Sitaron Ka,

Ye Chand Tu Use Bata;

Bandish Hai Ye Fizao Ki,

Aa Maangle Khuda se Ek Umar Duao ki
bhri dunya me jee nahi lagta,,,

jany kis cheez ki kmi hy abhi...
Oudaas Shamo ki Siskiyon mein
Kabhi jo Meri Awaaz Sun_na

Tu beetey Lamhon ko Yaad kr k
Inhee Fizaaon mein loot aana

Tum aaya krte thy Hawab ban kr
Kabhi mehakte Gulaab ban kr

Mein Hushak Honton se Jab Pukaaron
In Adaaon mein Loot aana

Meri Wafaaon ko Paas Rakhna
Meri Duaaon ko Paas Rakhna

Mein Haali Hathon ko Jab Outhaon
Meri Duaaon Mein Lout Aana..........
Jab piyar karna seekh liya,
tou piyar nibhana bhi seekh liya,
jab aaye aapki yaad tou,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se key koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya..
Wo Kehti Hy
k
Hum Saari Raat
Unhei''n
Soney Nhi Dete

Hum Kehty Hyn
k
Aap Ki Yaad Ka
Noor Hi Kuch Aisa Hy
k
Aap Humari Raat
Honay Nhi Dete .. ;)
tu mohabbat ki zamin se mujh ko aawaaz to de

aasmaan par bhi howa to uarr ker aaonga main...
Ehsaas Na Ker In Jazbo''n
Ka Nazro''n Se Gira De
Beshak ... Lekin !!!

Jeena Bhi Mujhy Dushwaar
Lagey, Itna Tou Nazar-Andaaz
Na Ker ... !!!
Tairy Tarz-e-tagaful sai hamain kia gila dost
.
Shayed hamain hi nahi ata dilon mai ghar karna
teri kam-goee k chachay hain zamany bhar main faraz.

kis se seekha hy youn batoon ki wazahat karna..
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya
main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya
Bhool thi Meri jo mein ne tujhe apna mana
Teri Dosti Ko Mein Ne Teri Chahat jana
Mujhe Na Khabar Thi Ke Tu Aesa Hoga
Ke De Ker Zakham Iss Tarah Se Be-Khabar Hoga
Milnay ka jhoota iqrar kartay hain
Chahnay ka galat iqrar kartay hain

Raah tak tak ke thak gayae naina
Vadon ka jhoota bevpaar kartay hain

Abhi aayaingay aur abhi milaingay
Mun ko yuhin beqarar kartay hain

Raah!bhi aaj hui hy khamosh
Milnay ka jhoota izhar kartay hain