Kabhi Yun Bhi Aa

Kabhi Yun Bhi Aa
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho
  

Jun, 05 2010     509 chars (4 sms)     4645 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dard Jitna Hai Meri Nigaho Me,

Paoge Na Utna Kisi Ki Raho Me,

Bitani Chahte The Zindagi Jiski Baho Me,

Maut B Na Mil Payi Unki Panaho Me.
Milti bhi apko fursat kesy.

Yaad ati bhi meri surat kesy.

Puch unse jo bichar jate han.

Tut parti ha qyamat kesy.

Ab to sab kuch hi mayssar ha

Ab tujhe meri zarurat kesy.

Tujhse ab koi talluq hi nahi

Tjhse ab koi shikayat kesy.

Kash humko bhi bta de koi

Log karte han mohabat kesy _;
Ukharta ja raha hai sans ab beemar-e-ulfat
''''Sagar''''
chalay aao k kuch dair hum be zuban hon ge
zaalim tha wo or zulm ki adat b boht thi,
majboor te hum bus se mohabat b boht thi,

Waqif hi na tha rasm-e-mohabat se wo warna,
Dil k liye thori c inayat b bohat thi.
tum ho nazuk se ik tetly

aur main hon tery pyar main jalta hova parvana
BY ASIM ALI SHAM''
ek lafaz mohabbat ka adna yeh fasana hay
Simtay toh dil e aashiq phaylay toh zamana hay
Samny Koi Rasta Bhi Nahi
Mera Khud Se Rabta Bhi Nahi

Yaad Rakhna Bhi Ik Azab Hua
Bhol Jany Ka Hosla Bhi Nahi

Ik Din Wo Mujhe Bulaye Ga
Kia Yaqeen Hai Jo Toot_Ta Bhi Nahi

Waswasey Dil Ko Kion Sataty Hain
Wo Abhi To Wo Bewafa Bhi Nahi

Lamha Lamha Tumhare Naam Kia
Aur Kuch Mere Paas Tha Bhi Nahi
Ek din inhi kabro mein meri laash hogi......
Khuda kasam us din to sabse udaas hogi.......
Phir tujhe mujhse milne ki aas hogi....
aur tu behad hataash hogi.......
mAsoom C Khwahish hy Dil ki,

pakeeza Chahat hy meri


koi DaAG Lagay to kaise


Ba''wazoo mohAbAt hy meri.
Kis Terha Samjhao'n Ye Baat
Ehl-E-Dunya Ko

Teri Talaash Ko Ye Dunya
Awaargi Samajh Bethi Hy ...
Hamara Har Lamha Chura Liya Aapne
Aankhon Ko Ik Chand Dikha Diya Aapne
Hamein Zindagi To Di Kisi Aur Ne
Par Pyaar Itna Dekar Jeena Sikha Diya Aapne
ik baar ke milne ko joo payar samajhte hai.
pagal hai magar khud koo hushyaar samajhte hai.

chahat ki ibadat ko jo roog samajhta hai .
hum ese masiha ko bimar samajhte hai.

tufan se nahee darte lehroo se nahee darte.
hum loog bhawar koo bhi pat war samajhte hai.