Aadat-tan tum ne kar

Aadat-tan tum ne kar
Aadat-tan tum ne kar diye waday.
Aadat-tan hum ne aetabar kia.
Teri rahon main bar-ha ruk k.
Hum ne apna hi intizar kia.
Ab na mangain gay zindgi ya rub.
Ye gunah hum ne aik bar kia
  

Jun, 04 2010     187 chars (2 sms)     2556 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

aik raah pe sari umar chale
aik dooje ko na samajh sake...
jeewan ka safa anjaan safar
be kashish, be araam safar....
jeewan k kisi bhi dukh sukh mein
woh mere saath shareek nahe...
hum donu mein aik rishta hai
per jazboon ki tehreek nahe...
jaari hai magr anjaan safar
mein sochta hun aik din yunhi
woh mujhse juda hojaegi....
ya pehle mein mar jaonga.
ya shayed woh mar jaegi...
phir loug kahenge, inka ye rishta kitna sacha tha....
per kisko khabar, sara jeewan
woh tanha thi, mein tanha tha....
is terhan hoti hai barish koi andar andar
jese rota ho koi chup ke yahan sham ke bad
Abhi main dekh kar aya hun us ki ankhun main Ansoo..!!

Tumharey Shehar main Saelaab aaney wala hai..!!!
Be-faida Hy Zeest Main
EhbaabKa Hujoom

Ho Pekar-e-Khuloos Tou
Kaafi Hy Ek Shaks !!!
mere haathki lakeerain to khafa hain mujh se..sahil"
tum apney he haathon mein mera mukadar dekho.
Aanson Mere Tham Jaein To Shoq Se Jana..




Aise Mein Kahaan Jao Ge Barsat Bohat Hai....
Waqt Khush Khush Kaat-nay Ka Mashwra Daitey Huay,

Ro Para Wo Aap Mujh Ko Hosla Daitey Huay,

Be Gunahi Ki Saza Pe Mujh Ko To Rona Hi Tha,

Tum To Palken Ponch Laitey Faisla Daitey Huway,

Waqt e Rukhsat Un Ka Bhi Rumal Tha Bheega Hua,

Ro Paray Thay Hum Bhi Un Ko Raasta Daitay Huway!!
Apni aankhon se sabhi ashk baha kar sona, Tum meri yaad ka her deep bhuja kar sona, Ek sitara bhi mere khyal ka baqi na rahy chandni shab k nishanaat mita kar sona,
dar lga rehta hai neend hi kaheen cheen na ly,
Tera her roz mere khuaab men aakar sona,
Baad main log gira bhi den to koi baat nahi
her taraf piyar ki deewar utha kar sona
Subha hoty hi tere shehar se jana hy mujhy
Aaj ki raat zra mujh ko Mana kar sona.....
Mohabbat rang lati hai,

Jab dilse dil milte hai.

Mushkil to ye hai,

Dil badi mushkil se milte hai.
mujhay malom tha ye dost
k mujhay tum idhar bula kr yun
buhat ruswa hi karogay
aur hoa b kuch aisa hai
main yun chali to ai hoon
likin is bheer mai phir b ab
tanha buhat hoon ab tak mai
kahan hai yeh sab log
koi milta hi nai hai..!!
~Kisi ne kaha tha kisi se na kehna~

~Lage chot dil pe to Khamosh rehna~

~Jahan chot khana wahin Muskurana~

~Magar is ada se k ro de Zamana.
Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko