Main SMS Messages3698 messages

Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat,
Jaisay Aadha chand,
Jaisay bin sooraj kiran,
Jaisay bin badal barsaat,
Jaisay jungal mein tanha hiran,
Jaisay be Aawaz koiyal,
Jaisay Sookhi Kali,
Jaisay Thehra hoa paani,
Jaisay bin paani machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay bikhari zulfein,
Jaisay dolhay bin baraat,

Aisay hi tum bin Main,


Aur mera yeh Adhora PaN
koch kehnai ka waqt nahi hai koch na kaho khamoosh raho
ai logo khamoosh raho haan ai loogo khamoosh raho

sach acha, par is kai jalo Main, zehr ka aik piyala bhi
pagal hu, kiyoon nahaq ko "suqraat" banoo, khamoosh raho

haq acha par is kai liya koi aur marai tu aur acha hai
tum bhi ki "mansoor" hu jo soli pai charhoo, khamosh raho

un ka yeh kehna soraj hi dharti kai phairai karta hai
sar ankhoon par, sooraj hi ko ghomnai do, khamoosh raho

majlis Main kooch habs hai aur zanjeer ka ahan chubhta hai
phir soocho, haan hir soocho, haan phir soochoo, khamoosh raho

garm ansoo aur thandi anhain, man Main kiya kiya mausam hain
is baghya kai bhaid na kholoo, sair karoo , khamoosh raho
Ek beqarari Main doob ker....
Ek masti Main jhoom ker....
Muhabbat nay apna Izhaar chaha!
Zindgi Main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!

Khawab baney Aarzoo ki terha....
Umeed bani zindgi ki terha....
Her Ehsaas nay Iqraar chaha!
Zindgi Main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!

Etabaar ka hath thaam ker....
Yadoon ko hamrah ley ker....
Is Masoom nay bey-ikhtiar chaha!
Zindgi Main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!

Ek khoobsurat Etminaan ki terha....
Tum huey hamari Duaa ki terha....
Hum ney tumhain Toot ker chaha!
Zindgi Main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya

Main ho gardishon ka maara howa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo Main ganwaa diya

Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya

Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita diya

Yeh udasiyoon ka jamal hai ke tumhara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya

Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor par
Wo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira diya
Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho

Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho

Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho

Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho

Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho

Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho

Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho

Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho

AJJ JAANEY KI ZID NA KAROU
HUM TOU MAR JAYE GAY HAYE LUT JAYEGEY
AESI BAATAIN KIYA NA KAROU..

TUM HI SOUCHOU ZARA KYON NA ROKAIN TUMHAIN
JAAN JATI HIA JUB UTH K JATEY HO TUM
TUMKO APNI QASAM JAN E JAAN
BAAT ITNI MERI MAAN LOU...

AAJ JANEY KI ZID NA KARO
YOUN HI PEHLOU MAI BETHE RAHO
AAJ JANAY KI ZID NA KAROU
HAYE MAR JAYEGEYHUM TOU LUTT JAYEGEY
AESI BAATAIN KIYA NA KAROU...

WAQT KI QAID Main ZINDAGI HAI MAGAR
CHAND GHARYAAN YAHI HAI JO AZAAD HIA
INKO KHOOO KAR MERI JAAN E JAAN
UMR BHAR NA TARASTEY RAHO.......
AAJ JANAY KI ZID NA KAROU

KITNA MASOOM RANGEEN HAI YE SAMAAAN
HUSN AUR ISHQ KI AAAJ MERAAJ HAI
KAL KI KISS KO KHABAR JAAAN E JAAN
RUK LOU AAJ KI RAAT KO.......
AAJ JANEY KI ZID NA KAROU.....
Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se ayi hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum "Tanha" Fankaar ho jao
Kitni Aziyat Se Us Ne Mujh Ko Bhulaya Ho ga
Meri Yadon Ne Usay Khoob Rulaya Ho Ga

Baat Be-Baat Aankh Us Ki Jo Chalki Ho Gi
Us Ne Chehray Ko Bazuon Main Chupaya Ho Ga

Socha Ho Ga Us Ne Din Main Kayi Bar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh K Mitaya Ho Ga

Jahan Us Ne Mera Zikar Suna Ho Ga Kisi Se
Us Ki Aankhon Main Koi Aansoo To Aya Ho Ga

Raat K Bheegnay Tak Neend Na Ayi Ho gi Tujhay
Tu Ne Takiye Ko Bhi Seenay Se Lagaya Ho ga

Ho K Nidhal meri Yadoon Se Tu Ne Jana
Meri Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Ho Ga

Poocha Ho Ga Jo Kisi Ne Teri Haalat Ka Sabab
Tu Ne Baton Main Khoob Us Say Chupaya Ho Ga
Ab kisi se koi gila hi nahi
Jis ko Chaha tha woh mila hi nahi
Yeh to sab khel hai Naseebo ka
Apni Qismat Main woh likha hi nahi
Woh jo ek shaks hum ko Pyaara tha
Aisa bichrra ke phir mila hi nahi
Jaa chuka hai woh door yun hum se
Ab milne ka koi aasra hi nahi
Abhi is taraf na nigah ker Main gazal ki palkain sanwar loon
Mera lafz lafz hai aeinah tujhey aeineu Main utar-loon

Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa
Zara theher ja isi moor per tere saath sham guzar loon

Ager aasman ki numa-e-shoon Main mujhay bhi izan-e-kayam ho
To Main motioun ki dukan say tayri baleeyan tere haar loon

Kahain or bant day shohratain kahain or bakhsh day izatain
Mere paas hai mera aaenah Main kabhi na gard-do-ghubar loon

Kai ajnabi teri rah Main mere pass say yun guzar gaey
jinhain daikh ker yeh tarap huee ter a naam ley ke pookar loon
Main tum say bicher ker nahi faryaad keroonga
ye bhool jaoo k Main tumhay yaad keroonga

is shehr e baywafa Main wafa ki qadr kahan
ab ja k Main sehraoon ko abad keroonga

ger dil k taluq say hay inkar wo kerta
Main rooh k rishtay say bhi azad keroonga

shayad khushi sakoon Main rahat na mili hoo
gham day k apnay dil ko Main ab shad keroonga

dil bhi udaas rah k ab ukta sa gia hay
ab to niya hi shughl Main ijaad keroonga

hay mera zarf teri wafa say kahiin barh ker
ay baywafa tujhay Main kion barbaad keroonga

tu bhi bichar gia hayye dil bhi udas hay
kis say biyaan apni Main roodad keroong
Agar hum door ho jayen,
Kahin dunya me kho jayen,
Batao kya karo gy tum?
HaMain dhoondo gy,
Ya phir bhool jao gy?
HaMain awaz do gy,
Ya...
Kisi guzri kahani me,
Hamara naam likh do gy,
Chalo esa hi karna tum,
Badal jana,
HaMain tum bhool hi jana,
Mgar itni guzarish hai,
Hamara zikr jab aye,
Zara sa yad kar lena,
Num aankho se,
Do aansoo hamaray naam k,
Mehfil me rakh dena...
Agar puchay tumhain koi hamara,
To kehna...
IK dost tha maara gya sawan ki jal thal me..