Ab kisi se koi gila hi nahi
Jis ko Chaha tha woh mila hi nahi
Yeh to sab khel hai Naseebo ka
Apni Qismat main woh likha hi nahi
Woh jo ek shaks hum ko Pyaara tha
Aisa bichrra ke phir mila hi nahi
Jaa chuka hai woh door yun hum se
Ab milne ka koi aasra hi nahi
Kahin Bhi Ziker-E-Wafa Chirr Gia Tou Log Akser
Log Hawala Dene Lage Teri Bewafai Ka
Yeh Aur Baat Hai K Hum Zabt Ker Gaye Her Baat
Werna Dukh Tou Hua Hamain Teri Judai Ka
Eay Subah main ab kaha raha hon?Khawabon main hi surf ho chuka hon.Kya hai jo badal gai hai dunia.Mina bhi to bohat badal gya hon.Main jurm ka eatraaf ker k kuch aour hai jo chupa gya hon.main aur faqt ussi ki khawahish ekhlaaq main jhoot bolta hon.Roya hon to apney doston main. Par tujsay to huns ker hi mila hon...Eay shakhs...!Main teri justajoo say bezaar nahin hon. Thak gya hooooon.
wafa nibhany ki
jo Qeemat
mujy ada karna pari hai
us sy mujy
aisa lagta hai
jasy
mera wajooooooooood
kisi haqeer tinky ki tarah
ider uder
hawa ma
bikhar raha hai………!