Main SMS Messages3698 messages

anaa k kheil Main us ko boht khasaara hua
k jeet ker bhi woh legta hey mujh ko hara hua
bess ik saans thi jo aati jaati rehti thi
wegerna tery bina kb mera guzara hua
Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt Main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan Main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo Main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat Main tanhai mujh ko zindagi
Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha Main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gay.....
Kia tha Main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!
MAGAR
Ik baat hai piyare...
Kabhi jo waqat mil jaye,
To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno....!!!
Main khush to hoon lakin,
Lahoo har lafz roota hai.....;->
Main is sa bar k zbat
ke masal aur kya doon
wo muj sa leepat k
roohay kise aur k lya
kuch iss qader bhi tu asaan nahin ishq tera
yeh zher dil Main uter ker hi raas aata hai

Main tuj ko pa k bhi khoya hua sa rehta hoon
kabhi kabhi tu mujay tu ne theek samja hai

mujay khaber he k kiya he judainyon ka aazab
k Main nain shakh se gul ko bechirtay daikha hai

Main muskura b para hoon tu kiyon khafa hain ye loog
k phool tooti tooti hoi kaber pe bhi khilta he

ussay ganwa k Main zinda hoon iss tarha mohsin
k jaisay taiz hawa Main charagh jalta hai
Zamanain bher ki nigahoon Main jo khuda sa lagay
wo ajnabi hai mager muj ko aashna sa lagay

najanain kab mairi duniya Main muskuray ga
wo aik shakhs k khaboon Main bhi khafa sa lagay

ajeeb cheez hai yaro yeh manzaloon ki hawas
k rahzen bhi musafer ko rehnama sa lagay

dilay tabah! tera mashwara hai kiya k mujhay
woh phool rang sitara bhi bewafa sa lagay

hoi hai jis say manawer her aik aankh ki jheel
woh chand aaj bhi mohsin ko kamnama sa lagay
Tumhain Maloom Hai Ham Ne
Kisi K Hijar Main Ye Zindagi Kaise Guzari Hai

Har Ik Khusboo Ki Aahat Per
Guman Us Ka Guzarta Hai
Har Ek Saat Pe Dil Aankhon Main Aaker Beth Jata Hai
Kai Pehlo Badalti Khuwahishain Hathon Ko Phelaie
Duain Mangti Aur Hanpti
Dil Se Guzarti Hain

Magar Jo Hijar Lahaq Hai
Wo Jism-O-Jan Ki Deewarain Girata Hai
Umeedo Beem Ki Aankhon Se
Beenai K Sab Manzaroon Ko Khak Karta Aur Mitata Hai

So Ham Bhi Khak Hain
Aur Khak Ki Qismat Main Likha Gia Hai
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein
Ruthi Hui Ankho Main Intazar Hota Hai
Na Chahte Hua V Pyar Hota Hai
Kyu Dakthe Hai Hum Wo Sapne
Jinke Tutne Par V Unke Such Hone Ka Intzar Hota Hai
Der Raat Jab Kisi Ke Yaad Satayee
Thandi Hawa Jab Zulfon Ko Sehlaye
Karlo Aakhe Band Aur So Jaao Kya Pata
Jiska Hai Khayal Wo Khuwabon Main Aa Jaye
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon

Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain

Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon

In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi

Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon

Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
Lahoo say dil pay jo kheencha thha naqsh kaisay mita doon
Tuhi bata Main tujhay apnay dil say kaisay bhula doon

Meri hasti ko to bas aas thhi teray wujood ki
Meri hasti ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Meri tanhaayi mein jo saath mera chhor na paaya
Shab-e-furqat ka jo haasil hai ussay kaisay bhula doon

Talaash-e-raahat-e-hayaat mein jeevan guzar gaya
Shaoor kho kay jo paaya hai ussay kaisay bhula doon

Wohi to yaad thhi shaadaab wo hi yaad hai shaadaab
Rahay gi yaad wo shaadaab ussay kaisay bhula doon..!