Main SMS Messages3698 messages

Yunhi Fasslon Ko Sajay Rakh.
Yehi Intazar Rehne De.

Mere Zehen-o-Dil K Sakun Per.
Mera Ikhtiyar Rehne De.

Teri Chahto Ka jo Dard Hai.
Ye Sub Khushi Se Qabool Hai.

Meri Chashm-e-Num Ka Guma Na Kar.
''Muje Askh Baar Rehne De.

Teri Bebasi Baja Sahi.
Meri Khush Fehmi Bhi Galat Nahi.

Tujhe Har Qadem Per Khushi Mile.
Mujhe So-Gawaar Rehne De.

Meri Guftugu Me Jo Dard Hai.
Wohi Dard Mera Naseeb Hai.

Main bhula Chuka Hon Dard Ko.
Mujhe B-Qaraar Rehne De.
Suno Hum Tum Say Kuch Kehna Chahatay Hain
Is Tees Ko Is Dard Ko Hum Sehna Chahatay Hain
Jis Ko Kabhi Sheesha Kabhi Aaina Kehtay Ho Tum
Seenay K Us Muqaam Main Hum Rehna Chahatay Hain
Moujon Ka Daar Nahin Hai, Sahil Say Nahin Hai Pyaar
Bas Thaam Lo HuMain Tum, Hum Behna Chahatay Hain
Kia Yaad Karo Gi Hum Ko Jab Paas Hum Na Hoon Gain
Terey Khuwab Main Khayal Main Hum Rehna Chahatay Hain
Khayal Main Terey Aks Say Yeh Sab Tu Keh Chukay Hain
Terey Saamnay Gar Ho Ijaazat Kehna Chahatay Hain
kaash.......................
ae kaash k ye chahat mere bas ki baat hoti.,
to zindagi mein kisi namumkin khawish ki jagah na hoti....
tujse mili to khud ko zindagi se rubaru paya...
ae kash k ye kashish do tarfa hoti.......
khusnasib hain jo mohabbat se nawaze gae..........
ae kaash k mere muqaddar mein b wo ek lakeer hoti....
tu mile aur mere do jahan muqammal ho........
ae kaash k tere aasman ki zarurat meri zamin hoti...
izhaare mohabt shabdon ki mohtaaj nahi...........
ae kaash k alfaaz se zyada ehmiyat tune ehsaas ko di hoti.....
Main baawri hun jo sapne mein haqiqat ko talashti hun.....
AE KAASH K MACHHLI AUR PANCHHI KI REHGUZAR EK HOTI.............
AE KAASH.............
meri rooh jesay kuchal gya,
koi shaks aisy badal gya,

ye kis ka harf-e- dua raha,
k Main girty girty sanbhal gya,

teri yaad jab aany lagi,
mera dard jesy behal gya,

meri qismaton ka qaafla,
kisi aur janib nikal gya,

tumhain dekhty hain bysabab,
koi khawab mera machal gya,

mera patharon sa garoor tha,
magar tery aqgy pighal gya....
Ye dunya hai yahan pey ye tamasha ho bhi sakta hai,
Abhi jo ghum hamara hai tumhara ho bhi sakta hai
.
na ye samjho k tum hi aakhri meri muhabbat ho,
muhabbat jurm hai hum sey dobara ho bhi sakta hai
.
samandar sey jo nisbat dy rahey hain meri chahat ko,
wo itna zehan Main rakhain kinara ho bhi sakta hai
.
tera milna,bichar jana,bichar k pher sey mil jana,
hamesha ki judai ka ishara ho bhi sakta hai
.
tum apney aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
ye souda hai muhabbat ka khasara ho bhi sakta hai
Phir kahain Dour sey ik baar sada do mujh ko,
meri tanhai ka ehsas dila do mujh ko
.
tum tou aftab ho tumhey meri zarorat kya hai,
Main diya hoon kisi chokhat pey jala do mujh ko
Mujh se vaaqif to mere jism ka saayaa bhi na tha
Kaisay ho jata tumhara Main khud apna bhi na tha

Jitna mayuus hai woh shakhs bikhar ker mujh se
Itni shiddat se to Main ne usay chaaha bhi na tha

Jaisay ilzaam lagaye hain mere sar us ne
Aisi nazaron se to Main ne usay dekha bhi na tha

Meri aawaaz ka gham sheher ne jana kyunkar
Main to us bheer mein khaamosh tha bola bhi na tha..........;->
Khud ko is dil Main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do...

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do

Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do

Nahi hai shauk bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do............;->
Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko Main nai khola

buhat sai chehrey nazar Main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja

ik aisa safa bhi usMain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai

kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha

kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay Main phar na paaya

kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan Main kho giya Main

Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan Main so gya…
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se Main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
kashhhh khushion ki koi dukan hoti ..

huMain bhi us ki pachan hoti...

bhar dete aap ka daman khushion se

keemat chaye us ki hamari jaan hoti....;->
Kisi ney lakh samjhaya yeh kafir dil nehin mana
Mujhy khud bhi khyal aya yeh kafir dil nehi mana

Dilon ki apni mantek hey dilon ko kon samjhay
Palat jati meri kaya yeh kafir dil nehin mana

Kahin to hijer k jalty safar Main mill hi sakta tha
Kisi deewar ka saya yeh kafir dil nehin mana

Hazaaron orr manzer thy tumhary husn sey berh ker
Nazar ka dil bhi lalchaya yeh kafir dil nehin mana