Main SMS Messages3698 messages

Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer Main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino Main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Dil se dil ka rabta acha laga,
Aaj us ka sochna acha laga,
Jate jate akhri lamhaat Main mur kar us ka dekhna acha laga,
Zindagi bhar us ne jo kuch bhi kia,
Us ka har ik fasla acha lag,
Har taraf thi bewafa logon ki bheer,
Ik woh hi bewafa acha laga,
Woh hayya ki har ada mein sooyie jab,
Paas reh kar bhi fasla acha laga,
Kiyon mohabbat ho gai us say,
Kya baatae hum ko us Main kya kya acha laga!
chahay kassa mossam ho
chahay kassa b din ho
koi afsurda bat ho ya chahay koi b ghum ho
himatain nhi khona tum udas mut hona
zindagi k rastay Main mushkilain to atti hein
sath chorr daitay hein
jo hanssi k sathi hein
muskurahatain magar nhi khona
tum udas mut hona
YE MUMKIN HAI HAMAREY DERMIYAN KOI
GHALAT FEHMI BHI NAHEE REHTI
JO APNY DIL MEIN CHOOTI SI KHALISH HAI
KHATAM HO JATI
BATA DETI KY MUJH KO AAJ BHI
USS KI ZARORAT HAI
JO IS JEEWAN KA HASIL HAI
TOH BAS USKI MUHABBAT HAI
BATA DETI KY LOGO KI
SAB HE BAATAIN FASANEY HAIN
SAB HE QISSEY PURANY HAIN
Main KEH DETI ZARA SI BAAT PER
YUN ROOTHNA ACHA NAHEE HOTA
MUHABBAT KERNY WALON MEIN
GHALAT FEHMI TOH HOTI HAI
MAGAR JHAGRA NAHEE HOTA
Main HER AIK BAAT KEH DETI
KHALISH BHI DOOR HO JATI
Main USKA HATH PAKREY YUN HE
USKI HUM QADAM REHTI
WOH AAGEY HATH TOH KERTA
WOH MUJH SY BAAT TOH KERTA
ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye
ky zakham zakham mein khilta hon mein her khushi k liye

woh mujh ko chorr gaya toh mujhy yaqeen aaya
koi bhi shaqs zarori nahee kisi k liye

sawal ye hai k uss ny kabhi nahee pocha
ky aap sochty kaisy hain shairee k liye

usey khabar hai k uss ka koi nahee apna
aik aashnai bhi kafi hai ajnabie k liye

khata kisi ki ho lekin saza kisi ko mily
ye baat jabr ny choori hai her sadee k liye

ye saadgi thi mairi ya k Saad chahat thi
ky Mainny khud ko paish kiya dil lagi k liya
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
Main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath Main apna hath de!!
Tu k simta tu rag-e-jaan ki hadoon mai simta,
Mian k bikhra tu simta na gaya tere baad,
Yeh alag baat hai k afshan na hua tujh per warna,
Kitna mehsos kiye tujhay Main nay tere baad,
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay



Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ga Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya
Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay
Kartay Hain Boht Log Magar Hum Nahi Kertay
Hai Apni Tabiat Main Jo Khami Tu Yehi Hai
Hum Ishq Tu Kertay Hain Magar Kam Nahi Kertay
Nafrat Se Tu Behter Hai Ke Rastay Hi Juda Hoon
Bekar Guzar Gahon Ko Baham Nahi Kertay
Her Sans Mein Dozakh Ki Tapish See Hai Magar Hum
Soraj Ki Terhan Aag Ko Madham Nahi Kertay
Kia Ilm Ke Roatay Hon Tu Mar Jatay Hoon Ali
Wo Log Jo Kabhi Ankhon Ko Naam Nahi Kertay