Zamanain bher ki

Zamanain bher ki
Zamanain bher ki nigahoon main jo khuda sa lagay
wo ajnabi hai mager muj ko aashna sa lagay

najanain kab mairi duniya main muskuray ga
wo aik shakhs k khaboon main bhi khafa sa lagay

ajeeb cheez hai yaro yeh manzaloon ki hawas
k rahzen bhi musafer ko rehnama sa lagay

dilay tabah! tera mashwara hai kiya k mujhay
woh phool rang sitara bhi bewafa sa lagay

hoi hai jis say manawer her aik aankh ki jheel
woh chand aaj bhi mohsin ko kamnama sa lagay
  

Jun, 04 2010     464 chars (3 sms)     2927 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Beinteha pyar karte hai hum aap se,
Par ishar na karenge kabhi,
Kuki humne kasam khaye hai ke,
Dubara khud ko ruswa na karenge kabhi
ikhlAAs k AmrAt ki ulti hy Taseer






jis ko B PilatAy hAin zehAr ugaltA hy.
Kabhi Aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Meri jaagi hoi raaton ko usi ki hai talaash

Soo raha hai meri Aankhon mai jo sapna ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Kabhi aansoo kabhi khushboo kabhi naghma ban ker

Raat bhi agar aye tu bhujti nahi chehrey ki chamak

Rooh mai phail gya hai wo ujala ban ker

Dhoop mai wo khoo gya hath chorwa ker Raheel

Ghar sey jo sath chala tha mera saaya ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker
Chup Chap Rehtay Hain Wo Aksar
Zulfain B Suna Hay K Sanwara Nahi Kartay
Din Raat Guzraty Hain Un K Be-Chain
To Chain Say Hum B Guzara Nahi Karaty
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
"fana"itna ho jaun mai teri zaat mei mohsin


jo mujh ko dekh le usko tera didaar ho jaye


Is raat ki tanhayoon k''
sab rang badal gaye hain

chand nikla hai wese hi
andhere badal gye hain

jin k bharose thi khushyan
wo badal gaye hain

manzilain to ab bhi wohi hain
kuch rastay badal gaye hain

jinpe kiya tha bharosa hum ne
wo dost bichar gaye hain

dekhe the kabhi jo hum ne
wo khwab badal gaye hain

jo banay the kabhi humsafar
aaj wo hi mukar gaye hain

is totay hue dil k saray
jazbaat badal gaye hain

na badlay kabhi hum
na badlay hamare khayalat

bus rona hai yahi Bas
kuch log badal gaye hain
Rulana Har Kisi Ko Ata He,
Hasana Kisi Kisi Ko Ata He.
Rula Ke Jo Mana Le Wo Sacha Yaar He
Or Jo Rula Ke Khud Bhi Ansu Bahaye Wo Pyar hai
bikhar rahi meri zaat use khna

kabhi milay to ye bat use khna

wo sath tha to zamana tha hamsafar mera

ab koi nahi mary sath usy kna

use pukaro k khud hi pounch jaon us k paas

nahi rahe wo halat use khna

agar wo phir b na lotay to a mery Kasid

mery zeest k sab halat usy kahna

usay khna k main apni jeet b us k naam krta hon

main manta hon apni har usy khna
KHAWAB

ZINDAGI

MERI

Mana k teri yaad se ghafil zaroor hoon

Lakin teri zaat ka Munkar nahi hoon main.
Mujhe aiane or tere saye se sakhat nafrat hai.

jana

tere jesa koi or kauon hu....
Der Raat Jab Kisi Ke Yaad Satayee
Thandi Hawa Jab Zulfon Ko Sehlaye
Karlo Aakhe Band Aur So Jaao Kya Pata
Jiska Hai Khayal Wo Khuwabon Main Aa Jaye