Zabt kerta hon to her zakham laho deta hy

Zabt kerta hon to her zakham laho deta hy
Zabt kerta hon to her zakham laho deta hy

Ah kerta hon to andesha-e- ruswai hy

Dkhta hon to hazaron se shanasai hy

Sochta hon to wahi gham wahi tanhai hai.
  

May, 28 2010     165 chars (2 sms)     2382 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab teri Yaad se Wehshat nhi hoti mujh ko,

Zakhm khulte hain AziYat nhi hoti mujh ko,

Ab kisi shakhs ki Aadat nhi hoti mujh ko,

Ab koi AaYe, chla jaYe main khush rehta hon,

AesY Badla hon TerY Shehr ka Paani pi kr,

jhoot Bolon to nadaamat nhi hoti mujh ko.
Tumako Dekhaa To Ye Kayaal Aayaa
Zindagii Dhuup Tum Ghanaa Saayaa

Aaj Phir Dil Mai Ek Tamannaa Kii
Aaj Phir Dil Ko Hamane Samajhaayaa

Tum Chale Jaaoge To Sochenge
Hamane Kyaa Khoyaa, Hamane Kyaa Paayaa

Ham Jise Gunagunaa Nahiin Sakate
Vaqt Ne Aisaa Giit Kyuun Gaayaa... :(
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete
Numayaan ho key dikhla dey kabi unko jumal apna
boht mudat sey charchey hein terey bareek beenoon mein

Tu to Aalim hai samajhta hai kitaboon ki zubaan
mera chehra bhi parh merey halaat bhi bata
Jo rishta kayam hai wo hum nibhege,

Nigaho se door rah kar bhi aapko chahege.

Pata nahi aap kiske sath ghar basayege,

Par hum aapka naam lete lete mar jayenge.
"Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye"
udaas honton pe muskurahat k phool aain to jaan lena..,

k dil k andar ki kuch udasi,bohat udasi main dhal rahi hai..
Wo Tum Na Thai Ek Khayal Tha,
Meri Soch Ka He Kammal Tha,
Wo Mohbbaten Wo Chahhatain
Meri Uljhanoon Ka He Jaaal Tha
Meray Dil Mai Thi jo Ronakain
Wo Tera He Husn_E_jamal Tha,
Jawab Jis Ka Mila Nahi
Wo Aise He Ek Sawaal Tha,
Wo Aaj Mila To Yun Laga
Wohi To Hai Jis Ka Intazar Tha,
Use Yaad Kaise Na Karoon
Use Bhoolna To Muhaal Tha,
Ab Us Ki Kya Main Misal Doon
Wo To Apni Misal Ap Tha,,,,,,,,,,,,,,,,,
Bara Gumaan Tha Mausam Shanaas Hony Ka

Wohi Bahana Bana Hy Udaas Hony Ka

Fiza Mehakne Lagi, Roshni Chalakne Lagi

Tou Ye Nishaan Hy Tere Aas Pass Hony K
Dunya Bhi Tere Saath Hy Dil Bhi Teri Taraf

Ab Mera Tera Faisla Tehra Khuda K Haath ...
Ab k Kerna Tou Kisi Aise Se Chahat Kerna

K Jis Ko Aata Nahi Ho Shikwa Shikayat Kerna

Teri Kam-Goi K Charchey Thay Zamane Bhar main

Kis Se Seekha Hai Tum Ne ye Baato''n ki Wazahat Kerna

Pehle Khusbhu K Mizajo''n Ko Parakh Lo Nadaan

Phir Gulestaan main Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
tum rakh na sako gye mera tohfa sambhaal kar,

warna..

mai tumko abhi dye don ..

apna"dil"
nikaal kr..