Main yeh kehta hon ke

Main yeh kehta hon ke
Main yeh kehta hon ke
phir se dil lagana chahiye


Neend ki aghosh main
sapna suhana chahiye


Dil ki lau ko sard kar
dena aqal mandi nahi

Dil lagane ko agar-chay
ek zamana chahiye

Koi taaza phool le kar
milne aa jaye to phir

Apne zakhmi jaan-o-dil
ko bhool jana chahiye.
  

Jun, 04 2010     293 chars (2 sms)     2500 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

UMEED kay MOOTI Arza’an hain, DARVAISH ki JHOOLI khali hay
PHOOLO’ON kay Mehktay Daama’an mein, DARVAISH KI JHOOLI KHALI HAY…!!!
Muqaddar se laR sakun,
ye mere bas ki baat nahin.

main vho shaks hoon,
khuda bhi jiske saath nahin.

Mujshe phir dil lagane ki baat na karo,
Muhobbat mere bas ki baat nahi..
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Tujhsay milnay ki saza denge tere sheher k log
ye wafaon ka sila denge tere sheher k log

Kya khabar thi tere milnay pe qayamat hogi
Mujhko diwaana bana denge tere sheher k log

Teri nazron se giranay k liye jaan-e-haya
Mujhko mujrim bhi bana denge tere sheher k log

Keh k diwaana mujhey maar rahay hain patthar
Aur kya is k siwa denege tere sehehr k log
Dil lagta nhi he ab tumhare bina
Khamosh se rehne lage he hm tumhare bina
Jaldi laut aao
Ab yahi chah he
Warna ji na sakenge tumhare bina
Toot Jate Hai,
Bikhar Jate Hai,
Kaanch Ke Ghar Me Muqaddar Apne...

Ajnabi To Sadaa Pyar Se Milte Hai,
Bas Bhool Jate Hai Aksar APNE!!
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Thori si ibadat boht sa sila deti hai,
gulab ki tara chehra khila deti hai,
Allah ki yad ko dil se na jane dena,
kabi kbi choti si dua bhi arsh hila deti hai,,,
kahan kahan na chiri daastan-e-jurm-e-wafa
hamaray eshq ka charcha kahan kahan na hua
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar Aaya
Kia Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya!!
Aarzo hai wafa ban k taray sath raho
dharkano ki sada ban k taray sath raho
maray honto say JISAY mout bhi na cheen sakay
wo zindagi ki dua ban kay taray sath raho