Aik bar kisi ney kaha

Aik bar kisi ney kaha
Aik bar kisi ney kaha

Farzz karo k tum har cheez sey dastbardar honey par majboor

kar diye jao aur tumhain siwaye saat lafzon k sab kuch bhulana

par jaye..to tumharey wo saat alfaz kya hongey?...jis ka tum

intekhab karo gey

Main ney socha aur sirf paanch alfaz bata saka jo ye they...

"Allah,Zindgi,Mohabat,Hussn,Zameen"

aur phir main ney us ki taraf deikh kar kaha k

"baki do alfaz kya ho saktey hain...??"

Tab us ney kaha baqi do alfaz hain...

"Main aur Tum....
  

Jun, 04 2010     494 chars (4 sms)     2490 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Soch Samjh Lena Qadam Uthanay Se PEhlay

Kahi Kho Na Jao Manzil Anay Se Pehle

Mukhliss Dost Se Marhoom Na Ho Jao Kahi

Yeh Soch Lene Usay Azmanay Se Pehle

Tumharay Siny Me B Darkhta Hai Ek Dil

ye Soch Lena Kisi Ka Dil Dukhanay Se Pehle

Umar Br Kon Kisi K Liye Rota Ha

Log Sirf Rotay Hain DAFNANAY Se Pehlay
Hum Chup Chap Hain Humay Hergiz Be-Hiss Na Samjho...

Shihdiat-E-Gham Se Bhi Ban Jatay Hain Log Pather Dill.....
tum q badal gaye ho ye herat ki bat hy.

mohsin

tum ko to meri zat se gahra lgao tha,,,
Khusbu Se Hawaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mossam Ki Adaon Se Bhi Miltay Nahi Kuch Log

Mil Jaye Tu Jevan Ko Saja Detay HAin Laken

Bicherain Tu Duaon Se Bhi Miltay Nhi Kuch Log..
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!
Mai ne seekha nai kitab0n se,
mai ne rabta rakha insan0n se,
kitna asan tha sawal krna,
ab jan jati hai jawabon se!
Khaab mai bhi gar tumhe kho dete hain,
judaai ke khayaal hi se ro dete hain,
ye ab jaa kar jana humne..
log muhobatt mai jaan kyo dete hain...!
shayad k main kamzor jata us aakhri mulaqat mein..

mohsin

wo to baarish ki meharbani thi jis ne chupaya aansu mere..
Raat Kat’ti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish-e-Hijr Main Koi Jalta Raha

Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahi’n
Koi Bechain Karwat Badalta Raha

Aas-o-Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko KOi Takta Raha

Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koi Tanha Sisakta Raha

Ashk Palo’n Pe Aa K Bikherte Rahe
Naam Lab Par Kisi Ka Larazta Raha

Aaj Phir Raat Basar o Hi Gayi
Aaj Phir Koi Khud Se Ulajhta Raha
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
Dard Se Kehlna Seekh Gaye Hum
Gham Ko Jhelna Seekh Gaye Hum
Kia Bataon Meri Zindgi Ne Kis Qadar Tora Mujhe
K Mout K Saath B Kehlna Seekh Gaye Hum
Tujhko Dhoondte Hue

Ek Arsa Hai Beet Gaya,

Aaj Jab Tu Laut Aaya Hai

Mere Paas.

Tujh Mein ''Tu'' Nahin

Koi Ajnabi Hai Samaya.