Aksar main apney ansoon

Aksar main apney ansoon
Aksar main apney ansoon chupke chupke pee laita hoon
atti hay jub kabi woh nazar martey martey jee laita hoon
  

Jun, 05 2010     111 chars (1 sms)     2781 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
Khayal Tha K Hum Tujhe Raazdan Bana Lete

MaGar Ye LoG Nayi Dastan Bana Lete

Tu Ek Baar Mohabbat Se Dekh Leta To Hum

Zameen Khud Ko Tujhe Asmaan Bana Lete!

Umar bhar chaha k zameen_o_asman humara hota

Kash k khwahishon ka bhi koi kinara hota

yeh soch k usko meinay roka hee nahi

Dour jata hee kion agar wo humara hota
teri kam-goee k chachay hain zamany bhar main faraz.

kis se seekha hy youn batoon ki wazahat karna..
phuulo.n kii aarazuu me.n ba.De zaKhm khaaye hai.n
lekin chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye hai.n

us par haraam hai Gam-e-dauraa.N kii talKhiyaa.N
jisake nasiib me.n terii zulfo.n ke saaye hai.n

mahashar me.n le gaii thii tabiyat kii saadagii
lekin ba.De Khuluus se ham lauT aaye hai.n

aayaa huu.N yaad baad-e-fanaa unako bhii ''Adam''
kyaa jald mere siikh pe imaan laaye hai.n
Agar zindagi mein judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to shayad,
Rishton mein ye gehrayi aayi na hoti...
Kuch khone ko ji chahta hai

Aaj rone ko ji chahta hai

Jagte mein sab dekh liya yaro

Ab sone ko ji chahta hai

Teri aankh mein apna aks dekh ker

Kajal honey ko ji chahta hai

Chandni dekh ker humein bhi

Chand hone ko ji chahta hai

Subah se bohat hass liya ke

Aankh bhigone ko ji chahta hai

Wo bohat pyara hai magar ab

Juda hone ko ji chahta hai

Tere Dagh-e-Dil dekh ker Jaana!! Apne

Dagh dhone ko ji chahta hai
Kisi K Khwab Main Utra Na Qurbaton Main Raha
Sitam Tou Ye Hai K Phir Bhi Wazahato’n Main Raha

Khud Apni Zaat Tak Ka Adraak Bhi Na Ker Paya
Main Khalwato’n Se Nikal Ker Bhi Wehshato’n Main Raha

Mera Wajood Raha Jins Be-Talab Ki Terha
Main Lafz Deta Gaya Khud Izafato’n Main Raha

Haroof Jis K Tarashey Jisey La-Taab Kia
Khud Is Kitaab Ki Minha Ibarato’n Main Raha

Bohat Gumaan Tha Khud Tez Kaam Hone Ka
Jo Qafley Se Nikla Tou Rasto’n Main Raha

Qarar Milta Bhi Kaise Kisi Peher
Thak K Bhi Main Hamesha Mussafato’n Main Raha
Bhulakar to dekho ek baar hume,

Zindagi ki har adaa tumse rooth jayegi.

jab bhi sochoge apno ke baare mein,

tumhe hamari yaad zaroor ayegi.
Mai tasawar bhe judai ka bhala kaisay kron,

Mai ne qismat ki lakeeroo se churaya hai tjhe...
kal dekha aik admi aata safr ki dhool main.

ghum tha apne aap main jase khushbo phool main,
mohsin dil-e-ghreb ki veranian tu daikh.

kaisa ngar tha jo tere hathoon ujar gia...!!!