jitna b usko sochoon utna hi door paoon,
jitna b usko chahoon khud hi bikharti jaoon,
may aam c musaafir be aas be sahara,
wo door kahin basta ek aasman ka tara,
may rait se ulajhti sehraon ki hawa hun,
wo sahilon pe chalti baad-e-saba ka jhonka,
han farq to bohat hai, pr baat ye faqt hai,
may lakh toot jaoon,khud se hi rooth jaoon,
pr ye na hoga mujh se, k may usko bhool jaoon...!
Do lafzon mein bayan hoti nahi kahani meri
Thak gaya asman thak gae zameen
Par yadein na rukein ye thi meri zindagani
Ab badal gaye mausam
Ab badal gae rutein
Phir bhi dhoonti hain muhjhay wo shamein
Siha kali
mai hawa ka jhonka hun
mujhe pakadne ki koshish mar karna.....
ek khwab hun .....
ik khwab hun is khwab se pyar mat karna......
malum nahi mujhe
kisi or hai meri manzil
bas unhi guzarta raha unki galiyon me
ek berukh jhonke ki tarah.......