Aana SMS Messages322 messages

main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jAanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
Oudaas Shamo ki Siskiyon mein
Kabhi jo Meri Awaaz Sun_na

Tu beetey Lamhon ko Yaad kr k
Inhee Fizaaon mein loot Aana

Tum aaya krte thy Hawab ban kr
Kabhi mehakte Gulaab ban kr

Mein Hushak Honton se Jab Pukaaron
In Adaaon mein Loot Aana

Meri Wafaaon ko Paas Rakhna
Meri Duaaon ko Paas Rakhna

Mein Haali Hathon ko Jab Outhaon
Meri Duaaon Mein Lout Aana..........
Guzray Waqat Ko Bhula Dena Bhe Aasaan Nahe Hota
Ghamon Ko Hansi Men Chupa Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Zaruri Nahe Ke Poori Ho Har Khahish Lekin
Apni Khahishon Ko Daba Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
MAana Ke Tootey Huey Phoolon Say Khushboo Nahe Aati
Magar Unhen Kitabon Men Sajaa Lena Bhe Asan Nahe Hota
na milta Gham to barbaadi ke afsAanay kahaan jaatay

agar duniyaa chaman hoti, to virAanay kahaan jaatay

chalo achaa huaa apnon mein koi Ghair to niklaa

agar hotay sabhi apanay, to begAanay kahaan jaatay
kaash wo pal sang bitaaye na hote,
jinko yaaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
khuda ko agar is tarah door le jAana hi tha,
to itni gahraayi se dil milaaye na hote…..
Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa

niklay agar to chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa

Aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa

kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa

poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa

maqtal say Aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...
guzarish hai aaj kuch kah lyny do,,
mujhy mairi dunia main jee lyny do,,
brra hi kathen hai ye rasta,,,,,
mujhy mairi rahoon pe chal lyny do,,
brri purfraib hain nigahain ye sari,,
zrra khud ko en se bcha lyny do,,
mairy lafz lafz main zehar bhrra hai,,

brri tallakh dastan hai suna lyny do,,
jo tAana bani hai mairi zindagi tou,,
esy b dharknoon main bssa lyny do,,
kabi rakh ban k na bikhron gi hergiz,,
zrra shama ban k tou jal lyny do,,
mairi nazer main khab hain na manzil,,
tanveer chunaaoo kisi ka tou kr lyny do,,
titli hai badal hai sawan hai KESAR
chanda hai tulsi hai bawan hai KESAR
jaaney issey jAana hai kahan
kitna bada hai yeh jahan
Meray janay pay aay jAana
pereshan tum nahin hona
kabhi chup ker nahin rona
judai zeher hoti hai
mujhay maloom hai lakin
furaq-o-hijer ka mosam
yaqeenen beet jayega
yaqeenen wasal kay lamhay
dobara lot aain gay
wohi shamain wohi raatain
wohi qissay,wohi batain
wohi phir dastaan hogi
muhabbat meherbaan hogi
Chehra hai sar-e-shaam kahin saaz kisi ney,
Ya, door se di hai mujhey awaaz kisi ne,

Totay huye taaron ko abhi jor raha tha,
Hathon se mere cheen liya saaz kisi ne,

Eik aahh to karli hai magar, soch raha hon,
Pehchan na li ho meri awaz kisi ne,

Hum kar na sakay jurrat-e-izhaar-e-Tamanna,
Is tarha kiya, baat ka agaaz kisi ne,

Geron pe inayat hai apno se shikayat,
Samjhay na kabhi aap k andaaz kisi ne,

Touba ki jabeein par hai nadamat ka pasina,
RandAana uthai nigha-e-naaz kisi ne,

Mujh pey aanso bhi amanat hain kisi ki,
Paya na gum-e-dost ka ye raaz kisi ne.!.!.!
Manzil-e-gham ki fazaon say lipat kar roo loon
Teray daman ki hawaon say lipat kar roo loon
Jam-e-maaey peenay say pehlay mera jee chahta hai
Bikhari zulfon ki ghataon say lipat kar roo loon
Zard ghunchon ki nigahon mein nigahein daloon
Surkh phoolon ki qabaon say lipat kar roo loon
Aanay walay teray rastay mein bichaon aankhein
Janay walay teray paaon say lipat kar roo loon
Apnay majboor taqadus k sahary sagar
Deer-o-kabah k khudaon say lipat kar roo loon
Marne K Baad Bhi Na Chora JalAana .....

FARAZZ

Roz Pehenk Jati Thi Phool Sath Wali Kabar Par