Aana SMS Messages322 messages

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na GirAana Mujh Ko

Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh Ko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say BatAana Mujh Ko

Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujh Ko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh Ko
Kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
Kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai daikho to sahi

Kitni chahat say likhta thai mai naam tumhara
Wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

Haanton mai tum ne apnay chupayay thay moti bohat
Ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi
Kuch khone ko ji chahta hai

Aaj rone ko ji chahta hai

Jagte mein sab dekh liya yaro

Ab sone ko ji chahta hai

Teri aankh mein apna aks dekh ker

Kajal honey ko ji chahta hai

Chandni dekh ker humein bhi

Chand hone ko ji chahta hai

Subah se bohat hass liya ke

Aankh bhigone ko ji chahta hai

Wo bohat pyara hai magar ab

Juda hone ko ji chahta hai

Tere Dagh-e-Dil dekh ker JAana!! Apne

Dagh dhone ko ji chahta hai
Wo Samne Aye To Nazron Ko Jhukaa Loon Ga
Dekhoon Ga Nahi Phir Bhi Tasweer Bana Loon Ga

Aana Ho To Aa Jao Ruswayee Nahi Hogi
Dekhega Nahi Koi Palkon Mai Chupa Loon Ga

Jo Hum Per Guzarni Hai Ek Bar Guzar Jaye
Her Gham Ki Tarha Tujh Ko Seene Se Laga Loon Ga

Weeran Agar Dil Ho Aankhon Mai Andhera Ho
Yaadon Ke Diye Apni Palkon Mai Saja Loon Ga

Manzoor Agar Hogi Ruswayi Teri Mujh Ko
Mai Beth Ke Sahil Se Toofaan Utha Loon Ga

Naraz Agar Wo Hain Mere Nasheman Se
Mai Apne Nasheman Ke Tinkon Ko Hata Loon Ga

Kyun Mujh Se Khafa Ho Ker Wo Door Gaye
Baanhon Mai Wo Aa Jayaen Mai Un Ko Mana Loon Ga
us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin Aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
Osay kabhi na kabhi to bicher hi jana tha
Ye haadsa bhi meri zindagi main Aana tha
Wo aik shaks mujhey sari umer tarsay ga
Naseeb us k......k us ne mujhy gawana tha
Usoolon pe jo aanch aaye to takrAana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar Aana zaroori hai

Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jAana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jAana zaroori hai.

Saleeka hi nahin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar Aana zaroori hai

Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur phir socho
Ki iske baad bhi is duniya mein kuchh pAana zaroori ha
Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki

Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat Usaki

Kisne JAana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki
pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamAanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye
ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai...
aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai...

jis ne mere jazbon ki sadaqat ko na jAana...
ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai...

is dil ke kharabe se guzar kis ka hoa hai...
aankhein bhi wohi hai hont bhi lehja bhi wohi hai...

jo kuchh bhi kaha tha meri tanhayi ne tujh se...
is shehar ki deewar pe likha bhi wohi hai...

woh jis ne diye mujh ko muhabbat ke khazane...
baadal ki tarah aankh se barsa bhi wohi
yeh milna aur bicharr jAana
kab apne bas ki baat hai
kismat hi milati hai hum ko
kismat hi juddai deti hai
har baar yeh hi hota hai
koi hume bataye to sahi
ki aakhir kyu jo hum tum se nahi keh paate hai
wo dharkan se sunayi deta hai.
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
YarAana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...