Aana SMS Messages322 messages

terii khushii se agar Gam meN bhii khushii na huii
voh zindagii to muhabbat kii zindagii na huii

koii baDhe na baDhe ham to jaan dete haiN
phair asii chashm-e-tavajjoh kabhii huii na huii

tamaam harf-o-hikaayat tamaam diida-o-dil
is ehtemaam pe bhii sharaH-e-aashiqii na huii

sabaa yah un se hamaaraa payaam kah denaa
gaye ho jab se yahaaN subah-o-shaam hii na huii

idhar se bhii hai sivaa kuchh udhar kii majbuurii
ki hamne aah to kii unse aah bhii na huii

khayaal-e-yaar salaamat tujhe khudaa rakhe
tere baGair kabhii ghar meN roshnii na huii

gaye the ham bhii Jigar jalva-gaah-e-jAanaN meN
voh puuchhte hii rahe hamse baat hii na huii
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha

Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha


Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed

Usi Waqt Is Tufaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Kiss qadar kaam barha deti hain yaadein usski
Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski

Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi
Mujhko aur bhi deewAana bana deti hain yaadein usski

Main bhatakta hoon agar raat ke andhere mein
Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski

Jab uthaata hoon nighahein kisi aur chehre ki taraf
Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski

jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaQat ka
Faasle aur bhi barha deti hain yaadein usski...
Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai.
Tujhsay milnay ki saza denge tere sheher k log
ye wafaon ka sila denge tere sheher k log

Kya khabar thi tere milnay pe qayamat hogi
Mujhko diwAana bana denge tere sheher k log

Teri nazron se giranay k liye jaan-e-haya
Mujhko mujrim bhi bana denge tere sheher k log

Keh k diwAana mujhey maar rahay hain patthar
Aur kya is k siwa denege tere sehehr k log
MAana Hoon Gunahgaar De Lo Saza Bhi Lekin.../


Jo Kya Hai Gunaah WOhi Hai Be-Gunahi Meri.../
Bichad kar tujhse zinda hoon meri taqdeer to dekho


Kabhi aakar mere haalat ki tasveer to dekho


Deke pyaar ki Daulat kharide hai aanshu maine


Mili Jo ishq main humko zara jaagir to dekho


Usne mujhe mehfil main dekha to kaha Rakeebo se


Mera Aashiq , mera pagal mera deewAana to dekho.../
Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Say,
Piyaar Chupta Nahin Chupane Say.


Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Say Kabhi Bahaaney Say.


Piyaar Dil Mein Hai To Lao Zubaan Pey,
Aag Badhti Hai Ye Bujhaaney Sey.


Tumhein Na PAana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaney Sey.


Chalo Ek Dua To Apni Poori Huiey,
Mil Liye Apne Ek Deewaaney Sey.


Roye Jatey Ho, Bas Roye Jatey Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutaaney Sey.


Karo Koshish Ki Kurbatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaaney Sey.


Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunaaney Sey.


Bhool Jaao Kar Ke Achha Hai ,
Ehsaan Rehta Nahin Jataaney Sey.../
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana Chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon

Mere Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
*0#Usne kaha Tha Sunoo...
Ehad Nibhane Ki Khatir Mat Aana..
Ehad Nibhane Wale Aksar
Majburi Ki Thakan Se Lauta Kerte Hai..
Tum Jao
Samandar Samandar Apni Pyas Bhujao
Jin Aankhon Main Utro
Jis Dil Main Duubo
Meri Tanhai Tumhain Awaz Na Degi
Magar Jab
Meri Khuwaish Aur Chahat Ki Leh
Itni Oonchi Aur Tez Ho jaye
K Dil Ro de
Tou
Laut Aana... :-/
bhool gaya hai yeh dil .. khushiyon ke mehfil sajAana..
jaise bhool gaye hai hum ke.. ek waada tha nibhAana..
ek waada dosti ka.. ek waada bandagi ka.. ek waada zindagi ka ....
kaash woh karde hamaari is khata - e - muhabbat ko....
yaa phir jal jaaye hum is bewafa dil ke angaaron mein ....
kaash yeh tanhaayiya nahin laati yaadein un ki....
tho na likhte hum unke yaadon mein .....
na is dil mein un ke liye pyaar hota ...
na hamein yeh shab-e-gham ka intzaar hota .......
IS ZAMANE SEY NA HUM KOI GILAA RAKHAIN GAY
DIL LAGAYEIN GAY TO NA SHART-E-WAFA RAKHAIN GAY
NA DIKHAYAIN GAY KABHI DIL PE LAGE ZAKHM
UNHAIN DARD UTHEY GA MAGAR DIL KO DABA RAKHAIN GAY
JAAN DE DAINGEIN AGAR AIK ISHAARA KAR DE
HAM USEY APNE LIYE BHI NA BACHA RAKHAIN GAY
SAB HATA DAINGAY TERI RAAH KI RUKAWAT HAMDAM
GHAR KE DARWAZEY KO HAR WAQT KHULA RAKHAIN GAY
UNKI HAR BAAT KO BHOOLEY SE NA BHOOLAIN GEIN KABHI
UNKI YADOON KO BHI SEENAY SE LAGA RAKHAIN GAY
TOOT BHI JAAYEGI UMEED JO TERE AanaY KI "SAQIB"
EK DIYA PHIR BHI HAWAAON MAIN JALA RAKHAIN GAY