Aana SMS Messages322 messages

tum sab jo meri baat suno
ik kissa tumhein sunaata hoon
ye kissa nahi zamanay ka
ye kissa hai parwAanay ka
jo pal pal jeeta marta tha
jo pyar bohot hi karta tha
har baat usay maloom to thi
ek baat magar wo bhula betha
shamma ko haasil karnay mein
khud apna aap ganwa betha
youn ishq ki had se guzarnay mein
parwanay k jal marnay mein
ab jaagti hai na soti hai
shamma ab har pal roti hai
Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajAana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
zindagi ka safar maine jAana abhi
poora ho sakta yeh tere bina nahi
teri yaadein satayee,
din raat humko jalayee
pyaar ki shamma mere gulistaan mai jal sakti nai

guzra hua pal laut ke aasakta nai
tumko kho diya waapis paa sakta nai
kaise bhulaao wo manzar
kaanto bhara wo bistar
sukooon se koi raat mai so sakta nai

dil ko to mere aisa lagne laga abhi
kab se thay tanha, tha tumhara nishaan kahi nahi
bikhri huee daastan
is aasman talay hum zinda
kis dar pe jayee hum, milta kahee koi saaya nahi
BOHAT UDAAS HAI KOI TERE JAANE SE
HOSAKE TO LAUT Aana KISI BAHANE SE
TUU LAKH KHAFA SAHI MAGAR EIK BAAR TOO DEKH
KOI "TOOT" GAYA HAI TERE CHALE JANE SE.
APNE HONTON PAR SAJANA CHAAHTA HOON
AA TUJHE MEIN GUN-GUNAana CHAAHTA HOON

KOI ANSU TERE DAMAN PAR GIRA KAR
BUND KO MOTI BANAana CHAAHTA HOON

"THAK GAYA MEIN KARTE KARTE YAAD TUJH KO"
"AB TUJHE MEIN YAAD ANA CHAAHATA HOON"

CHHAA RAHA HAI SARI BASTI MEIN ANDHERA
ROSHNI HO GHAR JALAana CHAAHATA HOON

AKHIRI HICHKI(HIDCHKI) TERE ZANOO PE AEY
MAUT BHI MEIN SHAYRAana CHAAHTA HOON
***AZZIYAT***
Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say..
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga..

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga..

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay JAana.........
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga..
Kuch likhna chahta hoon...
Sochta hoon kya likhoon.

Phoolon ki woh mehekti khusbu,
Barish ka woh bheega paani,
Aur hawa mein thi jo rawaani,
Kya us mausam ka khumaar likhoon???

Thi chehre par unki masoomiyat,
Aankhon mein thi thodi sharaarat,
Aur baaton mein woh nazaakat,
Kya unka rangeen mijaaj likhoon???

Unka aakar muskarana,
Jo rooth jaun to manana,
Jaate jaate phir rulAana,
Kya unka yeh andaaz likhoon???

Yaadon mein unki ashq bahAana,
Har shaam ek diya jalAana,
Soyi ummeed ko roz jagAana,
Kya unka yeh intzaar likhoon??
Main teraa na hua haqeeqat me
ek fasAana magar chaahunga
jhooth hi kehde ke tu meri hai
taa-umr meri jee jaaunga.
Kabi tamana k rastoon par
Nikal paro tou khayal rakhna
Hawain, badal,fizain, mousam
Khayal chahray badal badal kar tumhain milain gay.
Tum lamha lamha badaltay Rangoon k sokh dhokay main a na jana.
Aur apni aankhain kahein khala main ganwa na Aana.
K aisa na ho jo khoab totay.
Dhanak dhanak ka sarab totay.
Tou jism-o-jan pay azaab totay.
Aur tum ba mushkil
Laraztay hathon main kirchi kirchi badan sambhalay zameen pay utro.
Kahein bolandi pay charh k doobti hoe nighahon say wapsi k nishan dhoondo.
Ujar gaya jo jahan dhoondo.
KAHEIN AISA NA HO.
KHAYAL RAKHNA……….!!!!!!
koi waqt purana yad aya koi dard suhana yad aya,
aur chalk se in deewaron per kuch likh kar jana yad aya,
tera milna neem ki chaon mein aur sir rakh dena kandhe pe, mera ye kehna koi dekh na le tera wo ghabrana yad aya,
sakhiyon k jhurmat mein tera paani bharne jana,
mera dekh k tuj ko hans dena tera wo sharmana yad aya,
kabi aisa b hota tha main tuj ko chorne jata tha,
jub wapis aane lagta tera wo hath hilana yad aya,
beeghe kapron, beeghi zulfon, nange paon,
barsaat ki beeghi raton mein tera milne Aana yad aya,
wo waqt gya lamhe beetay ab her taraf tanhai hai,
wo ik hai manzar ankhon mein tera wo chor k jana yad aya
Tum lautay ho aaj...

To kaii bay-naam aa''nsu...

Apni shanaakht bhool gaey hai''n...

Mujh say bichharr rahay hai''n...

K mujh may koi sakat nahee''n...

Ab rauknay ki in ko...

Pooray jisam ka shaur kuch thham sa gaya hay...

Karb may mubtelaa mairi her saa''ns...

Kuch sukoon ki aahai''n bhar rahi hay...

Janaa''n tum aaj lautay ho...

To pal may kitna kuch badal gaya hay...

Ab rooth k phir na jAana...

K ab aa''nsuo''n ko bhi manAana parrta hay...!
**mohabat kar nehi paaya**
december k maheenay ka,
wo shaayad aakhri din tha..
baras guzray kaii,
main nay "mohabat" lafz likha tha..
kisi kaaghaz k tukray par!
achAanak yaad aaya hay,
baras guzray kaii,
mujh ko kisi say baat karni thi..
usay kehna tha..
"jaan-e-jaan!
mujhay tum say mohabat hay.."
magar main keh nehi paaya..
wo kaaghaz aaj tak,
lipta para hay dhool main lekin..
kisi ko day nehi paaya,
dobaara chah kar bhi main,
mohabat kar nehi paaya...!!