Main teraa na hua

Main teraa na hua
Main teraa na hua haqeeqat me
ek fasaana magar chaahunga
jhooth hi kehde ke tu meri hai
taa-umr meri jee jaaunga.
  

Jun, 05 2010     117 chars (1 sms)     2104 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

na buhla sake hum haseen wadon ko..

khudi bhool bathe mujhy yaad delane wale..
log mujhe kehte hain
ki tum kyu apne pyaar ka izhaar nhi karte??????

maine kaha jo 3lafzo main bayaan ho jaae
sirf itna hum unse
PYAAR Nhi karte
Ajeeb Hijar Parasti Thi
Us Ki Fitrat Main

Shajar K Tuutey Patty
Talash Krta Tha

Tamam Raat Wo Parde
Hata K Chaand K Saath

Jo Kho Gaye Wo Lamhe
Talaash Kerta Tha ...
Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
sirf ghabraayegaa woh, tum dekhnaa.
baat ulzaayegaa woh, tum dekhnaa.

mahez uska naam us se pooch lo,
kahe nahin paayegaa woh, tum dekhnaa.

hoth par chullu liye jhuk jao to,
aur tarsaayega woh, tum dekhnaa

haan, mujhe pahechaantaa to hai magar
phir mukar jaayegaa woh, tum dekhnaa.

shaam dhalnaa, Ayesha kahenaa teraa,
‘khair, kal aayega woh, tum dekhnaa.’
In Jeheel See Ghyari Aankhon Ki Purudas Khamushi Ka Sabab Pucha
To Mehloom Ye Howa Inhein Dukh Mera Nain Gham Apna Hai
us k sub jhoot such sahi mohsin...

shart itne hai wo bole to sahi...
ehsas na kar in jazbon ka,nazron se gira be-shak lekin,,

jeena bhi mujhy dushwar lagy,itna to nazar andaz na kar..
Zakham Dene Ka Andaaz Kuch Aisa Hai
Zakham Dekar Poochte Hein Aub Haal Kesa Hai
Kisi Eik Se Kya Gila Karein "R.A khan"
Poore Zamaane Ka Mizaaj Eik Jesa Hai
hona tu wohi hai jo muqaddar me likha hai,

lekin woh mere khuwab,mere khuwab,mere khuwab.
Apni barbaadi ka jahan aabaad rakhna hai
ussay sub bhoolna mujhay sub yaaad rakhna hai!!