Rukh-e-Shabab Sy

Rukh-e-Shabab Sy

Rukh-e-Shabab Sy
Aanchal Jo Sarakta Dekha

Chaand Aakhash k
Jhurmat Sy Nikalty Dekha

Mujh Ko Mehsoos Hua
Dard-e-Judai Kia Hy

Main Ny Ek Phool Ko
Tehni Sy Bikharty Dekha

Zindagi Kia Hy Mere
Dost Tu Mujh Sy Pooch

MainNy Gulshan Ko
Baharo''n main Ujarty Dekha
  

Jun, 01 2010     279 chars (2 sms)     2991 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ek lafaz mohabbat ka adna yeh fasana hay
Simtay toh dil e aashiq phaylay toh zamana hay
"Mudaato se mera dil hain k abad nahi hain
Honton pe mager aaj bhi feryad nahi hain
Aata hain kehyalon meh mere ek chera
Bas us k siwa kuch bhi muje yaad nahi hian
Dehka hain ujarte howi kitne Gharoo ko
Hain kon jo is ishq meh berbad nahi hian
Dil jis ki judahi meh dharakta hain sar_e_sham
wo aam (simple) sa chera hain PARI ZAAT nahi hain"
Hathelii
Duwa to janey
kon se thi zahain mai nahi
bas itna
yaad hai k
do hateliyan mile hoyee thi
jin mai say
ek MERI thi OR ek TUMHARI
Na koi manzil hai na kinara hai koi,

Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara

Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,

kabhi Zindagi ko tarse

kabhi maut ko pukara.
Zingai Tanhaa Na Thi,

Aey Ishq Teri Rah Mein


Dhoop Thi, Sehraa Tha, Aur Ik Meharbaan Sayya Bhi Tha
mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

gham to bus ye he k ab uska khayal kon rakhay ga...
Pyar Dhoka hai tPyar Dhoka hai toh oh Dhoka mat khana,
Pyar agar gunah toh usse hone mat dena,
Magar pyar koi kare Tumse toh usse rone mat dena !!
Loq Pochte Hain
Tum Kyun Apni Mohabbat Ka Izhar Nahi Kerte Ho
MeiN ne Kaha
Jo Lafzon Mein Bayan Ho Jaye
Sirf Utna Hum Kisi Se Pyar Nahi Kerte
Aista humara is jahan main sabse pyra ho,

Jese zindagi ko sanson ka sahara ho,


Yaad rakhna humain us pal main bhi yum,

Jab tum akele ho or koi na tumhara ho!
Tu Nay Kaha K Ishq Tu Dhong Hai
Tujhay Ishq Ho Khuda Karay

Koi Tujh Ko Us Say Juda Karay
Teray Hont Hansna Bhool Jaein
Teri Aankh Pur Num Raha Karay

Tu Uski Batein Kia Karay
Tu Usko Dekh K Ro Paray

Tujhay Hijr Ki Woh Jhari Lagay
Tu Milan Ki Har Pal Dua Karay

Teray Khuwab Bikhein Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Karay

Tu Nagar Nagar Phira Karay
Tu Gali Gali Sada Karay

Tujhay Ishq Ho Phir Yaeen Ho
Usay Tasbihon Pay Parha Karay

Mein Kahon K Ishq Tu Dhong Hai
Tu Nahi Nahi Kiya Karay
aizharay piyar kernay lagi hain ankhay tari
mujhay bay-qarar kernay lagi hain ankhay tari

tum kuch kahho na kahoo lakin
sub kuch kahhaynay lagi hain ankhay tari
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena