tum sab jo meri baat

tum sab jo meri baat
tum sab jo meri baat suno
ik kissa tumhein sunaata hoon
ye kissa nahi zamanay ka
ye kissa hai parwaanay ka
jo pal pal jeeta marta tha
jo pyar bohot hi karta tha
har baat usay maloom to thi
ek baat magar wo bhula betha
shamma ko haasil karnay mein
khud apna aap ganwa betha
youn ishq ki had se guzarnay mein
parwanay k jal marnay mein
ab jaagti hai na soti hai
shamma ab har pal roti hai
  

Jun, 05 2010     400 chars (3 sms)     2589 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak

bhoolna chaha agar uss ko kabhi
Aur bhi wo yaad aya dair tak

bhookhey bachon ki tassali key lye
maa ney phir pani pakaya dair tak

jab mai roo ker muskuraya na dair tak

gungunata ja raha tha ik faqeer
dhoop rehti hai na saaya dair tak

Wo rula ker hans na paya dair tak
jab mai roo ker muskuraya na dair tak
Roothe jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gum to nibha lenge hum...
Bus tum rehna saath hamare,
Pighalte aansuon me bhi muskura lenge hum
~tum bin ~
Mujhay Hee Kyun Us Kii Prastish Say Roktay Hoo



Us Ko Bhii Too Kahoo Kay Woo Dewtaa Na Lagay
Khoaf.!

Meri zindagi main

ik nya rang bharnay say pehle

Wo muskurai aur phir

Larztay hoe lehjay main boli

Muje dar lagta hai.
Bojh hain mujh par ab apni saansain bhi

kia karoN Ga main ab teri zindagi Le kr
laut aati hai meri shab ki ebadat khali''mohsin"

janay kis arsh par rehta hai khuda sham k baad..
mai aksr thak sa jata hu
musalsal sochty tumko
k meri zindagi khali tumhary bin
khud b adhuri c
teri khawhish ki shidat ko sambhaly jab main
be''sudh ho kr gir jata hu bistar pe
to aansu aankh se,
aur dil se
shikway phoot party hain
gilay khud se,
Khuda se
aur tumse karta hu,
muje kyu is qadar
tum yaad aaty ho?
Ae Baad-e-Saba

Us Nagar Main ja

Usay Itna Bata

Ek Dost Tera

Kehta Hy Sada

Mujhy Apna Bana

Chahat Ko Jaga

Ae Jaan-e-Ghazal

Teri Baat Azal

Tere Hont Kanwal

Teri Aankh Ghazal

Ae Jaan-e-Wafa

Khud Tu Hi Bata

Kab Tere Siwa

Mujhe Chain Mila ... ???
Har pal haske jiya karte hai,

appse har baat kiya karte hai.

app khass ho hamare liye isliye

har pal appko yaad kiya karte hai.
Wo Waqt Bhi Dekha Hai Tareeq Ki Ghadiyo''n Ne

Jab Lamhon Ne Khata Ki Aur Sadiyon Ne Saza Payi Hai
NajAney kyUn AatEy hAin zindAgi mAin aisAy lOg,,,

Jinki yaAdein bAn jAti hAin zindAgi kA rOug. . .;-<
Qurbani Hai Pyar Ka Asli Matlab,

FARAZ

Chor Diya Saath Mera Bas Itna Keh Kar