Aana SMS Messages322 messages

dil ke dariyaa ko kisii roz utar jAanaa hai
itanaa besimt na chal lauT ke ghar jAanaa hai

us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai
jaise pAanaa hii use asl me.n mar jAanaa hai

bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa_ii kyaa hai
dil ko rukanaa hai ki taaro.n me.n Thahar jAanaa hai

kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke
us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jAanaa hai

mai.n khilaa huu.N to isii Khaak me.n milanaa hai mujhe
vo to Khushbuu hai use agale nagar jAanaa hai

vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil
har musaafir ko isii ghaaT utar jAanaa hai
Jab Bhi Sochogi Har Fasana Yaad Aayega,
Kab Ki Thi Kya Baate Wo Zamana Yaad Aayega,
Sukh Jayenge Tumhare Honth Aankh Se Aansoo Nikalenge,
Phir Dil Se Aawaz Dena Ye DiwAana Chala Aayega.
mujhay khabar thi,
zamAana chaahay bura he samjhay,
bhalay say ghar main mukhaalifat ho,
tumhaaray logon ko na-pasand ho,
tumhain to mujh par yaqeen hoga!
magar mujhay yeh khabar na thi,
tumhaari aankhon ki unsiyat bhi,
ek ajnabiyat say dekhti hay,
yeh waqt mushkil-tareen hay na!!
suno...
main majboor ho gaya hoon,
yeh sochnay par..
yeh sochnay par..
tumhain to mujh par yaqeen hay na...!!!
ek kaanch sa khwaab tha,

toot gaya..

main jaan gaya,

tum meray nehi..

par jAana bhi to kis pal main!

jab aas ki pyaas nay,

shidat k sub sehra jungle paar kiye...!!!
Aankho''n ki tehreer ko parrhna....


Jis din mai''n nay seekh liya....


Bas us din say her aik apna....


Bay-gAana lagta hay...
mariiz-e-muhabbat unhiin kaa fasAanaa
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate

magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate
Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehtay Hein
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehtay Hein

Sirf PAanay Ka Naam Mohabbat Nahin
Kuch Khone Ko Bhi Pyaar Kehtay Hein
Ae Mere Chahne Walo Kabhi Apna Bhi Zamana Tha
Saara Shaher Apna DewAana Tha

Tum To Karte Ho Dostoun Se Dosti
Apna To Dushman Se Bhi Yaarana Tha
duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa
yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa


daulat ho yaa hukuumat taaqat ho yaa javaanii
har chiiz mitane vaalii har chiiz aanii-jaanii

yeh sab Guruur ik din mittii mein jaa milegaa
aataa nahii.n palaTakar guzaraa huaa zamAanaa

kiyaa Khwaab kaa bharosaa kiyaa maut kaa thikAanaa
ye zindagii ganvaa kar kiyaa faayedaa milegaa
Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,

Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,

Tumhen bhuulane ki ma koshish karunga ,

Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,

Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai ,

Tumhen bevafaa kah raha hai zamana ,

Khudara meri qabr pe tum na Aana ,

Tumhen dekh kar shaq karega zamana .
Aana KI Baat Hai Werna Mohabbat Ab Bhi Baqi Hai
Usey Meri Mujhe Uski Zarorat Ab Bhi Baqi Hai
Koi Muskil Agar Darpaih Ho to Lout Ker Aana
Tumhare Waste Dil Mein Aqeedat Ab Bhi Baqi Hai
Yeh Kia Khela Hai Ulta Khel Mere Saath Kismat Ne
Sar-E-Manzil Khara Hoon Aur Musafat Ab Bhi Baqi ha
Aj Darechay main woh Aana Bhool Gya
Main bhi apna Diya Jalana Bhool gya
Aj muhe bhi Uski Yad nahi ai
Woh Bhi mere Khowab main Aana bhool gya
Khat Likha hai lekin...
Khat k Konay per
Woh apni Aankh k Ansu Mitana Bhool gya
Rooth ke ek Jaga per Dono Bethe Rahe
Main usk0 woh Mujh manana Bhool Gya
Chalte chalte main usko ghar le aya
Woh Bhi apna haath Churana Bhool gya