Aana SMS Messages322 messages

Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay



Na JAanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...
Wo chahti hai mohabbat ki bheek maangun
Us ko maalum shayed meri khud-daari ki intiha nahin

Agar aazmanay par he raazi hai meri anna to dekhna
Mujh say barh k phir zamAanay mein koyi be-wafa nahin..
Masoom muhabbat ka bas itna sa fasana hai,
kagaz ki haweli hai or barish ka zamana hai,
kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai,
aawaj bhi zakhmi hai or geet bhi gana hai,
us paar utarne ki umeed bahut kam hai,
kashti bhi purani hai or tufan ko bhi Aana hai,
samjhe ya na samjhe wo andaz-e-muhabbat,
ek shakhs ko aankho se ek shair sunana hai,
bholi si ada koi fir ishq pe hai,
fir aag ka dariya hai or dud ke jana hai.
Kya hai DIL ki haalat batAana nahi aata,

kisi ko aise tadpana nahi aata.

sunna chahte hai 1 baar fir aawaz unki,

magar baat karne ka bahAana bhi nahi aata.
Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehta hoon mere bin bohat pachtaoge
Bardasht ka paimAana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge
Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge
Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge
Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge
Karta hoon intezaar us lamhe ka main
Jab mujhe apna keh ker paas bulaoge
Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain
aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

kiya hua gar miray yaaron kee zubAanain chup hain
mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain

hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree
chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

sar salaamat hay to kiya sang-e-malaamat kee kamee
jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye
log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain ........;->
Ye Ishq nahin aasan...

Masoom Mohabbat ka bas itna sa fasana hain

kagaz ki haveli hain baarish ka zamana hain


Kya shart e mohabbat hain kya shart e zamana hain

Awaaz bhi zakhmi hain aur geet bhi gana hain


Uss paar utarne ki umeed bhi kam hain

Kashti bhi purani hain aur tufaan ko bhi Aana hain


Samjhe ya na samjhe woh andaaz mohabbat ke

Ek shakhs ko aankhon se ek sher sunana hain


Bholi si ada fir koi aaj ishq ki zid par hain

Phir aag ka dariya hain aur dhoob kar jAana hain.......;->
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begAanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
Na Chand Na Tare
Bas Dekhe To Aapki Aankhen
In Aankhon Mein Doob JAana Hai
Aur Pyar Ki Lehron Ko Paar Kar JAana Hai!
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
DiwAana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka BahAana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain
Bhool Sakta Hay Bhala Kaon Yeh Pyaari Aankhain
Rang Mein Doobi Huii Neend Say Bhaari Aankhain

Mairi Her Saans Nay Her Sooch Nay Chaaha Hay Tumhain
Jab Say Daikha Hay Tumhain, Tab Sai Saraaha Hay Tumhain
Bas Gaii Hain Mairi Aankhon Main Tumhaari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthaao To Sitaray Jhuk Jaaeyn
Tum Jo Palkon Ko Jhukaao To Zamanay Ruk Jaaeyn
Kyun Na Ban Jaaeyn In Aankhon Ki Pujaari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaaey
Tum Jo Mil Jaao Jeenay Ka BahAana Mil Jaaey
Apni Qismat Pay Kerain Naaz Hamaari Aankhain