Aana SMS Messages322 messages

Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
YarAana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...
Apnay hothon par sajAana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad Aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayrAana chahta hoon !

Apnay hothon par sajAana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain
Woh kahkahoN ki Masti
KahaN gayee who hasti?
Woh khwaaboN pay jaadu karna
Aur yaqeeN main badalanaa
SabaaN say sur milanaa
Tau kabhi taaroN say gungunanaa

Jab hosh nay aaNk kholi
Afqaar say ki macholi
Ab tu bhi udaas kyuoN hai
Tanhai ka paas kyuoN hai

MAanaa shub nay ziNdgi pay teri
Lagaai lambi pheri
Magar raushni kay who daany
Jiskay tujh main haiN khzAanay
Bo day is kaali raat kay seenay par
Kachi Deewar

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na GirAana Mujh ko



Tum ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mai Dharkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh ko



Baat Karnae Mai jo Mushkil ho Tumhein Mehfil Mai
Mai Samajh Jaaonga Nazron Se BatAana Mujh ko



Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho
Khawab Pura jo na ho wo na Dikhana Mujh ko



Apne Rishtey ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Mai to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh ko



Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na GirAana Mujh ko
Tere Pyaar Mein Rusva Hona Kitna Acha Lagta Hai,
Qadam Qadam Par Thokar Khana Kitna Acha Lagta Hai

Roo Leta Hoon Hans Leta Hoon Tere Aane Jane Par,
Tera ghar Mein Aana Jana Kitna Acha Lagta Hai

Main Apna FasAana Khud Hi Kehta Sunta Rehta Hoon
Achi Yaadon Ka Duhrana Kitna Acha Lagta Hai

Tere Hi Raste Par Chalna Teri Hi Manzil Ko Jana,
Tera Hi Har Dam Gun gana Kitna Acha Lagta Hai

Jin Chashmon Ka Paani Dil Duniya Seerab Kare,
Un Chashmon Ka Paani Peena Kitna Acha Lagta Hai

Sab Logon Ki Batein Sun na Aur Chup Rehna,
Us kai Khatir Har Dukh Sehna Kitna Acha Lagta Hai

Yun To Duniya Mein Sab Batein Hoti Rehti Hain
Laikin Kuch Batoon Ka Hona Kitna Acha Lagta Hai
Mohabbaton mien hawas k aseer hum bhi nahi...
Galat na jaan itney haqeer hum bhi nahi...

Nahi hai tu bhi qayyamat ki tand-o-tez hawa...
Kisi k naqsh-e-qadam ki lakeer hum bhi nahi...

Karam ki bheek na de tu aapna takht bakht sambhal...
Zaroratoon ka khuda tu,to faqeer hum bhi nahi...

Humien mitta de humari Aana ko qatal na ker...
K be-zaraar he sahi be-zameer hum bhi nahi...
Shayari tau hum bhi apne,
DIL - O JAAN se likha karte hai....

Dil mai basi uss,
DIL - O - JAanaM ke liye likha karte hai....

Chahat tau hum mai bhi hai kay,
Apni shayari say unka dil jeet lay

Isiliye tau har roz,
Unke baare mei kuch KHAAS likha karte hai....
Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye Aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga
Mera or tanhayi ka rishta,

Mera or dard ka rishta,
Mera or wafa ka rishta,

Mera or tmhara rishta..
EK jaisa hai,

Mgr meri jAana to tm ho,



Meri Anaa to tum ho ...
apne hoontoon pe sajAana chaahta hoon
aa tujhe main gungunAana chaahta hoon


koi aansoo tere daman par gira kar
boond ko mooti banaAana chaahta hoon

thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad Aana chaahta hoon

chaa raha hai saari basti main andhera
roshni ko ghar jalAana chaahta hoon
Ek haseen khwaab tha ki hakeekat kaise jaanon main,
Apni saanson mein teri khushboo ab tak pehchanoon main.

Tum is tarah mujhme samaayi thi ki jaise koi faasla na raha,
Sone do thodi der aur ab khud ko kyun aaj ab jagaoon main.

Kuch lamhe kaise beet gaye ehsaas na hua,
Apne badan se alag tujhe kyun pehchanoon main.

Teri zulfen mujhse aaj bhi lipat ke yun sawaal karti hain,
Tumhare paas bhi jawaab na hoga ye ab jaanoon main.

Kyun is tarah tumne mujhe jaane diya ye gawaara nahin mujhe,
Chupa ke rakh leti mujhe agar, tab teri diwAanagi ka kaha maanoon main.

Koi khushnaseeb pal yun guzra tha mujhe choo kar aise,
Ek ehsaas apni dhadkan mein aaj tak behta janoon main.