Kachi Deewar Hoon Thokar

Kachi Deewar Hoon Thokar
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujh Ko

Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh Ko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujh Ko

Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujh Ko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh Ko
  

Jun, 04 2010     476 chars (3 sms)     4104 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

yai bata ke tera atebaar kaise karen
Bharam hi toot gaya ab Pyaar kaise karen
Khiza khiza rahi hai yeh zindagi apni
Rutein badal ke is se hum bahar kaise karen
Jab us ki baat per hum ko yaqeen na raha
Ab aur us se Qol-o-Qaraar kaise karen
Wafa shuaar to ab woh nahi raha
Ab us bewafa ka intezaar hum kyun karen
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e dosti se mujhe...
Ye Asar Hai Unki Najar Ka,
Ya Mere Dil Ka Kasur Hai .
Aaj Meri Hasi Bhi ,
Mere Labo Se Dur Hai .
Wo Khadi Hai Samne, Dekta Hun Main ,
Kaun Jane Kaun Apne Hi Dil Se Majbur Hai
Tumain iss baat pe hai hyrat

k tuta hai hamara dil...

muqabil jab ho pather tou

sheeshy toot he jaty hain
Jagti aankho me ek khuwab aaya,
koi humdard hai mera yeh khayal aaya.
chot lagi dil pe toh dhiyaan aaya,
kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya.
mein bewafa ho ghaya to ghila na karna,



aur kabhi mujh ko khud sey judda na karna
Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.
un k liye jab hum ne bhatakna chorr dia.

yaad mein unki jab tarapna chorr dia.

wo roye bohat aa kar tab humary paas.

jab humary dil ne dharakna chhor dia.
Phir itne mayous q ho us ki bewafai per,

Tum khud hi to kehtay the k wo sab se juda hai.
agar hum hasraton ki qabar pe hi dafan ho jayen jana.

tu kutbe pe likh dena muhbat nar nahi sakti..
JIS NAZAR SE DEKHTE RAHE IS DUNIYA KO HUM,
UN AANKHON MEIN HAMARI KOI PEHCHAAN BHI NAA THI
BARBAD KARNEY K AUR BHI RASTEY THEY FARAZ,
NA JANE UNHEN MOHABBAT KA HI KHAYAL Q AYA??