Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marta Hoon
Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharta Hoon
Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain
Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marta Hoon
In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi
Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karta Hoon
Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marta Hoon
Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya
Assa Nahi k skahs acha nahi hey woh
Jesa mery kheyal mein tha wasea nahi hey woh
Takhleeq asman pey mery leya howa
Mana k iss zameen per mera nahi hey woh
Dosti ka rishta purana nahi hota,
Iss se bada koi khazana nahi hota,
Dosti pyaar se bhi pyari hai,
Kyun ki iss mein koi DOST pagal ya deewana nahi hota.