us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
merey baghair kabhi guzar auqat na karna,
jiss baat pe dil tootey wo baat na karna,
rakhna tamam umer mujhey dil mein basa kar,
chahey apnoon mein shamil meri zaat na karna
Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sakay,
Tere Yaad Mein Rat Bhar So Na Sakay,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri,
Bass Yehi Soch Kar Hum Roo Na Sakay