Ansu SMS Messages220 messages

jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta

baat kehta hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta

aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta

shayad jaanta hai wo bhi in aankhon men aAnsuo ka sailaab hai
jaane kyun fir bhi wo in aAnsuo ko girne nahi deta

mujhse kehta hai, “main to mar jaunga tumhare bina“
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta..
aj ehsas ke daman mein aAnsu gira ke dekhiye
pyar kitna sachcha hai dil laga ke dekhiye
aapko bhul ke kya hogi is dil ki halat
kisi aaine pe paththar gira ke dekhiye
Jab kabhi dil bohat udaas ho

jab kabhi khud say bohat c batain kerna chahun

lafz kho jatay hain...

sapaid-e-sahar say pehle

ya shab k kisi udaas lamhay main

jab ankhon say Ansu rawan hotay hain

shab k maheeb sanatay ko

kabhi jab torna chahun

kabhi jab bolna chahun

lafz khO jatay hain

main nay ye aksar dekha hai

jab kabhi dil mayoos ho chuka ho

aur tum chupkay say aa jao

ya jab kabhi tume alwida kehna ho

To Lafz kHo jatay hain.
Mujhay tum yaad aatay ho

Muqaddar k sitaaron per

Zamaaney k ishaaron per

Udaasi k kinaaron per

Kabhi veeraan sheyhron mein

Kabhi sunsaan raston per

Kabhi hairaan aankhon mein

Kabhi be-jaan lamhon per

Tumhaari yaad chupkey se

Koi sargoshi kerti hai

Yeh palkain bheeg jaati hain

To aAnsu toot girtey hain

Hum palkon ko jhukatay hain

Ba-zaahir muskuratey hain

Faqat itna hi kehtay hain

Mujhey kitna satatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho...!
Yeh mere aAnsu jinhe koi pochne wala bhi nahi
- Koi aanchal enhe milta to sitare hote.
Agar awaz dainy say
Agar wapas bulany say
Agar magmum huny say
Agar Ansu bahany say
Bichar kar jany waly lout aaty ,to
Phir hum awaz dy laity
Bohat Ansu baha laity
Inhein jany nahi daity
Inhein dil mein basa laity
Samy ko rok laity
Waqt ko qaid kar laity
Magar aaty howay logon ko jana hy
Inhein jitna bhi rooko,inhein ahkir ko jana hy
So hum ny souch rahka hy
K in ko naik bahkti ki duaein dein
Humary pass guzaray mosamon ki chand yaadein hein
So unki nazar karty hein
Humary pass chand ikhlas mein mehki duaein hein
So unk naam karty hein
Yunhi kisiki yaadmein rona fizul

hai, itne anmol Ansu khona fizul

hai, rona to unke liye jo humpar

nisar hai, unke liye kya rona

jinke aashiq hazar hai…
Mainay dariyaa say seekhee hai paani kee parda-daari,
Uuper uuper hanstay rehna gehraayi mein rou leina,

Reit bhari inn aankhon mein, aAnsuu say tum dhou leina,
Koi sookha ped milay tou uss say lipat kar rou leina,

Iss kay baad bohut tanhaa ho jaisay jangal kaa rasta,
Jo bhi tum say pyaar say bolay saath usee kay hou leina,

Kuchh tou reit kee pyaas bujhaao janam janam kee pyaasi hai,
Saahil par chalnay say pehlay apnay paanv bhigo leina,
Us ko mera halka sa ehsaas to hai
be-dard sahi woh meri humraaz to hai

woh aaye na aaye mere paas lekin
shiddat se mujhe uska intezar to hai

abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi
mere dil mein us se milan ki aas to hai

pyaar ki gawahi mere aAnsuon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai...
Woh Mujh Se Mere Ishq Ka Hisaab Maang Raha Hai
Kitna Pagal Hai Mujh Se Zinda Rehne Ki Wajah Maang Raha Hai
Woh Mujh Se Meri Chahat Ka Saboot Maang Raha Hai
Kitna Pagal Hai Mujh Se Mere Wajood Ka Nishaan Maang Raha Hai
Woh Mujh Se Mere AAnsuon Ka Saboot Maang RAha Hai
Kitna Pagal Hai Meri Tanhiyan Ka Saboot Maang Raha Hai
Chaha The Jise Jaan Se Zyada
Aaj Woh Hi MUj Se Dushmani Maang Raha Hai
Aj Darechay main woh Aana Bhool Gya
Main bhi apna Diya Jalana Bhool gya
Aj muhe bhi Uski Yad nahi ai
Woh Bhi mere Khowab main aana bhool gya
Khat Likha hai lekin...
Khat k Konay per
Woh apni Aankh k Ansu Mitana Bhool gya
Rooth ke ek Jaga per Dono Bethe Rahe
Main usk0 woh Mujh manana Bhool Gya
Chalte chalte main usko ghar le aya
Woh Bhi apna haath Churana Bhool gya
Teri Wafa
Wafa Jana
Meri Mohabbat
Kuch Bhi Nahi?

Tera Dard
Dard Thehra
Merz Zakham
Kuch Bhi Nahi?

Tumhari Baat
Pathar Ki Lakeer
Meri Iltija
Kuch Bhi Nahi?

Tujh Mein Ana
Samandar jesi
To
Mere Maan
Kuch Bhi Nahi?

Tera Gham
Gham Hua
Kya Mere AAnsu
Kuch bhi Nahi?

Tera Wajood
Sab Kuch Jana
Kya Meri Hasti
Kuch Bhi Nahi