Ansu SMS Messages220 messages

-Uss bewafa larki se sawal-o-jawab--
Mein ne poucha
Yeh itni barish q baras rahi hai
Tu jawab aya
Tere aAnsuon se muqabila hai iss ka
Mein jab tufan ka sabab poucha
Tu jawab aya
Teri zaat ki hal-chal se hai mouwazina iss ka
Mein ne jab badal ki garaj ki javaaz chaha
Tu jawab aya
Teri aahaon se moushabihat hai iss ki
Mein ne ghta-toop andhery ke tahjub se dekha
Tu jawab aya
Tere haal-o-mustaqbil ki tasveer hai yeh
Soye jis raat ko hum,hijr mein rote rote
Khwab mein wasl huya ,subah ko hote hote

shama ki tarah se hum raat ko rote rote
Beh gai Ansuon mein , subah ke hote hote

Jiske milney ki tammana thi,na paya usko
Ho gai umr bsar , jan ko khotey khotey ......
Mana ke aaj hum akele rah gaye.
Judai ke Ansu ankhon se beh gaye.
Rote Rahe kon chup karae ga.
Jo chup karatay thay Wahi rone ko keh gaye
Aye Dil kisi ki yaad mein rona Fazool ha,
AAnsu Bare Anmol hein inhen khona Fazool ha,
Roo tu un k lia jo tujh par nisar han,
Un ke lia keya rona jin ke Ashiq Hazar hein....
AAnsu aankhon se girnay ka takaza na karo,
Ru''Ba''Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,
Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,
Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,

Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,
Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,

Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,
Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,

Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,
Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue AAnsuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad
mere chere per ye jo nishan se kbi Ansu guzrte the yahn se faqt teri zra c aik han mera ser ja laga hain asman se sbi insan payher ho gay hain ab in me aey gi dharan kahan se ameer karwan aisa mila hai jo rasta pochta karawan se muje ab aa gya hai ishq karna me lar skta hon ab sare jahn se phr inki b kami mehsos hogi uta mt khushk pate gulistan se abi sultan me hai jan baqi kahan jay ga tere aastan se
Meri Palkon Ki Chokhat Pey Basney Wale,

Shab-E-Tanhai Ke Mausam Main Barasne Wale,

Mere AAnsu Mere Ehad-E-Wafa Ko Nibha Dete Hai,

Ik Tere Siwa Har Shakhs Ko Bhula Dete Hain.. !!
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se Ansu baras rahe hon,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
Yade aAnsu hoti to jhalak jati,
Yade likhawat hoti to mit jati,
Yade to zindgi me basa wo ehsas h jo lakh kosiso k baad b labjo me nhi simat
pati....
Jab ye mehsos hota hai k koi hai
jo meri rooh ki khamoshiyon ko apne alfaz deta hai
mere aAnsuon ko naam deta hai
jab bhi main muskuraoon to wo apni jaan deta hai
Saleeka Ho Agar Bheegi Hoi Aankhon Ko Parrhney Ka''''.....


To Phir Behty Huye AAnsu Bhi Akser Baat Krtey Hain"...